august1955
shahr meñ chāk-garebāñ hue nāpaid ab ke
koī kartā hī nahīñ zabt kī tākīd ab ke
lutf kar ai nigah-e-yār ki ġham vāloñ ne
hasrat-e-dil kī uThā.ī nahīñ tamhīd ab ke
chāñd dekhā tirī āñkhoñ meñ na hoñToñ pe shafaq
miltī-jultī hai shab-e-ġham se tirī diid ab ke
dil dukhā hai na vo pahlā sā na jaañ taḌpī hai
ham hī ġhāfil the ki aa.ī hī nahīñ iid ab ke
phir se bujh jā.eñgī sham.eñ jo havā tez chalī
lā ke rakkho sar-e-mahfil koī ḳhurshīd ab ke
shahr mein chaak-gareban hue napaid ab ke
koi karta hi nahin zabt ki takid ab ke
lutf kar ai nigah-e-yar ki gham walon ne
hasrat-e-dil ki uThai nahin tamhid ab ke
chand dekha teri aankhon mein na honTon pe shafaq
milti-julti hai shab-e-gham se teri did ab ke
dil dukha hai na wo pahla sa na jaan taDpi hai
hum hi ghafil the ki aai hi nahin id ab ke
phir se bujh jaengi shamen jo hawa tez chali
la ke rakkho sar-e-mahfil koi KHurshid ab ke
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 288)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.