miTTi ka diya
dekho bachcho maiñ huuñ miTTī kā diyā
be-haqīqat huuñ magar huuñ kaam kā
gas battī sham.a barqī qumqume
jitne bhī haiñ sab haiñ merī nasl ke
ḳhāmushī se raat bhar jaltā huuñ maiñ
par zabāñ se uf nahīñ kartā huuñ maiñ
ḳhud jalā kartā huuñ auroñ ke liye
dukh sahā kartā huuñ ġhairoñ ke liye
mujh se hai raushan añdherī raat hai
merī fitrat meñ ye kaisī baat hai
jhoñpaḌī meñ bhī hai mahfil meñ guzar
mehrbāñ yaksāñ huuñ maiñ har ek par
fā.eda pahuñchātā huuñ har ek ko
hindū ho muslim ho yā īsā.ī ho
maiñ samajhtā hī nahīñ huuñ zāt-pāt
merī nazroñ meñ hai insāñ ek zaat
raushnī pahuñchānā merā kaam hai
aap kī ḳhidmat mirā in.aam hai
dekho bachcho main hun miTTi ka diya
be-haqiqat hun magar hun kaam ka
gas batti shama barqi qumqume
jitne bhi hain sab hain meri nasl ke
KHamushi se raat bhar jalta hun main
par zaban se uf nahin karta hun main
KHud jala karta hun auron ke liye
dukh saha karta hun ghairon ke liye
mujh se hai raushan andheri raat hai
meri fitrat mein ye kaisi baat hai
jhonpaDi mein bhi hai mahfil mein guzar
mehrban yaksan hun main har ek par
faeda pahunchata hun har ek ko
hindu ho muslim ho ya isai ho
main samajhta hi nahin hun zat-pat
meri nazron mein hai insan ek zat
raushni pahunchana mera kaam hai
aap ki KHidmat mera inam hai
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 84)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.