banduq mujhe wo nain hona
bāzār se abbū aa.e haiñ
kuchh na.e khilaune laa.e haiñ
hisse meñ mire jo aayā hai
dil ko na mire vo bhāyā hai
is chiiz se kaise bahal pā.ūñ
is naam se kyoñ na dahal jā.ūñ
dushvār jo kar jaa.e jiinā
mazlūm kā chīre jo siina
bhaa.ī ko kare bhaa.ī se judā
bahnoñ kī kare na jo parvā
jo qadr kare na bachchoñ kī
muskān jo chhīne hoñToñ kī
jo dhuup kare hai chhāoñ kī
godī jo ujāḌe maaoñ kī
jo ḳhuun kī khele hai holī
siine pe chalā.e jo golī
insāñ ke lahū kī pyāsī ho
zālim kī sadā jo daasī ho
sāmān jo ho barbādī kā
hathiyār ho ātañkvādī kā
bandūq mujhe vo na.iiñ honā
koī aur khilaunā lā denā
bazar se abbu aae hain
kuchh nae khilaune lae hain
hisse mein mere jo aaya hai
dil ko na mere wo bhaya hai
is chiz se kaise bahal paun
is nam se kyon na dahal jaun
dushwar jo kar jae jina
mazlum ka chire jo sina
bhai ko kare bhai se juda
bahnon ki kare na jo parwa
jo qadr kare na bachchon ki
muskan jo chhine honTon ki
jo dhup kare hai chhaon ki
godi jo ujaDe maon ki
jo KHun ki khele hai holi
sine pe chalae jo goli
insan ke lahu ki pyasi ho
zalim ki sada jo dasi ho
saman jo ho barbaadi ka
hathiyar ho aatankwadi ka
banduq mujhe wo nain hona
koi aur khilauna la dena
- Book : Email by saalim saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.