bashaarat
Interesting Fact
(Auraq, Lahore, September-October, 1973)
ga.e zamānoñ se
tīrgī meñ bhaTakne vaalo
sitam kī lambī siyāh raat
ab guzarne vaalī hai
aur mashriq se
rath meñ baiThā huā vo paikar
ki jis kī aamad ke
tum hamesha se muntazir the
ki jis kī aamad ke ḳhvāb ban ban ke
raat āñkhoñ meñ kāTte the
sunahrī kirnoñ kā taaj pahne
nikalne vaalā hai
tulū-e-fardā kī aas meñ
tīrgī kī rāhoñ pe chalne vaalo
tumheñ bashārat ho
tīrgī ḳhatm ho rahī hai
tulū-e-fardā qarīb-tar hai
tulū-e-fardā qarīb-tar hai
gae zamanon se
tirgi mein bhaTakne walo
sitam ki lambi siyah raat
ab guzarne wali hai
aur mashriq se
rath mein baiTha hua wo paikar
ki jis ki aamad ke
tum hamesha se muntazir the
ki jis ki aamad ke KHwab ban ban ke
raat aankhon mein kaTte the
sunahri kirnon ka taj pahne
nikalne wala hai
tulu-e-farda ki aas mein
tirgi ki rahon pe chalne walo
tumhein bashaarat ho
tirgi KHatm ho rahi hai
tulu-e-farda qarib-tar hai
tulu-e-farda qarib-tar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.