mujhe kahna hai
nahīñ maiñ yuuñ nahīñ kahtā
ki ye duniyā jahannam aur ham sab is kā īñdhan haiñ
nahīñ yuuñ bhī nahīñ kahtā
ki ham jannat ke baasī haiñ
saroñ par lā-javrdī shāmiyāne aur pairoñ meñ
nirāle zā.eqoñ vaale phaloñ ke peḌ shiir o shahad kī nahreñ machaltī haiñ
mujhe to bas yahī kuchh aam sī kuchh chhoTī chhoTī bāteñ kahnī haiñ
mujhe kahnā hai
is dhartī pe gulshan bhī haiñ sahrā bhī
mahaktī narm miTTī bhī
aur us kī kokh meñ ḳhvāboñ kā jaadū aane vaalī nit na.ī fasloñ kī ḳhushbū bhī
chaTaḳhtī aur taptī saḳht be-his ḳhuun kī pyāsī chaTāneñ bhī
mujhe kahnā hai
ham sab apnī dhartī kī
burā.ī aur bhalā.ī saḳhtiyoñ aur narmiyoñ achchhā.iyoñ kotāhiyoñ har rañg
har pahlū ke maz.har haiñ
hameñ insān kī mānind
ḳhair o shar mohabbat aur nafrat dushmanī aur dostī ke saath jiinā hai
isī dhartī kā shahad o sam
isī dhartī ke khaT-miTh jaane pahchāne maze kā jaam piinā hai
mujhe bas itnā kahnā hai
ki ham ko āsmānoñ yā ḳhalāoñ kī koī maḳhlūq mat samjho
nahin main yun nahin kahta
ki ye duniya jahannam aur hum sab is ka indhan hain
nahin yun bhi nahin kahta
ki hum jannat ke basi hain
saron par la-jawrdi shamiyane aur pairon mein
nirale zaeqon wale phalon ke peD shir o shahad ki nahren machalti hain
mujhe to bas yahi kuchh aam si kuchh chhoTi chhoTi baaten kahni hain
mujhe kahna hai
is dharti pe gulshan bhi hain sahra bhi
mahakti narm miTTi bhi
aur us ki kokh mein KHwabon ka jadu aane wali nit nai faslon ki KHushbu bhi
chaTaKHti aur tapti saKHt be-his KHun ki pyasi chaTanen bhi
mujhe kahna hai
hum sab apni dharti ki
burai aur bhalai saKHtiyon aur narmiyon achchhaiyon kotahiyon har rang
har pahlu ke mazhar hain
hamein insan ki manind
KHair o shar mohabbat aur nafrat dushmani aur dosti ke sath jina hai
isi dharti ka shahad o sam
isi dharti ke khaT-miTh jaane pahchane maze ka jam pina hai
mujhe bas itna kahna hai
ki hum ko aasmanon ya KHalaon ki koi maKHluq mat samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.