targhib
ye ek lamha jo apne hāthoñ meñ chāñd sūraj liye khaḌā hai
mujhe ishāroñ se kah rahā hai
vo mere ham-zād mere bhaa.ī
jo pattiyoñ kī tarah se kumhlā ke zard ho ke
tumhāre qadmoñ meñ aa gire haiñ
durīda yādoñ ke qāfile haiñ
vo mere hamnām mere sāthī
jo koñpaloñ kī tarah se phūTeñge
ḳhushbuoñ kī tarah chaleñge
na.e sarāboñ ke silsile haiñ
jo biit jaatā hai vo fanā hai
jo hone vaalā hai vo fanā hai
ye kyā ki tum āñsuoñ meñ Duube hue khaḌe ho
hazār bedār lazzatoñ ko ḳhirāj dene se Dar rahe ho
ye merī āñkhoñ haiñ merī āñkhoñ meñ
apnī āñkhoñ ke rañg bhar do
chalo mujhe lā-zavāl kar do
ye ek qatra jo zindagī ke samundaroñ se chhalak rahā hai
mirī shikastoñ kī ibtidā hai
ye ek lamha jo apne hathon mein chand suraj liye khaDa hai
mujhe ishaaron se kah raha hai
wo mere ham-zad mere bhai
jo pattiyon ki tarah se kumhla ke zard ho ke
tumhaare qadmon mein aa gire hain
durida yaadon ke qafile hain
wo mere hamnam mere sathi
jo konpalon ki tarah se phuTenge
KHushbuon ki tarah chalenge
nae sarabon ke silsile hain
jo bit jata hai wo fana hai
jo hone wala hai wo fana hai
ye kya ki tum aansuon mein Dube hue khaDe ho
hazar bedar lazzaton ko KHiraj dene se Dar rahe ho
ye meri aankhon hain meri aankhon mein
apni aankhon ke rang bhar do
chalo mujhe la-zawal kar do
ye ek qatra jo zindagi ke samundaron se chhalak raha hai
meri shikaston ki ibtida hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.