tu
vahāñ jis jagah par sadā so ga.ī hai
har ik samt ūñche daraḳhtoñ ke jhunD
an-ginat saañs roke hue chup khaḌe haiñ
jahāñ abr-ālūd shaam uḌte lamhoñ ko roke abad ban ga.ī hai
vahāñ ishq pechāñ kī beloñ meñ lipTā huā ik makāñ ho
agar maiñ kabhī raah chalte hue us makāñ ke darīchoñ ke
nīche se guzrūñ
to apnī nigāhoñ meñ ik aane vaale musāfir kī
dhundlī tamannā liye tū khaḌī ho
wahan jis jagah par sada so gai hai
har ek samt unche daraKHton ke jhunD
an-ginat sans roke hue chup khaDe hain
jahan abr-alud sham uDte lamhon ko roke abad ban gai hai
wahan ishq pechan ki belon mein lipTa hua ek makan ho
agar main kabhi rah chalte hue us makan ke darichon ke
niche se guzrun
to apni nigahon mein ek aane wale musafir ki
dhundli tamanna liye tu khaDi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.