yaqin se yaadon ke bare mein kuchh kaha nahin ja sakta
tum ne jo phuul mujhe ruḳhsat hote vaqt diyā thā
vo nazm maiñ ne tumhārī yādoñ ke saath lifāfe meñ band kar ke rakh dī thī
aaj dinoñ baad bahut akele maiñ use khol kar dekhā hai
phuul kī nau pañkhuḌiyāñ haiñ
nazm ke nau misre
yādeñ bhī kaisī ajiib hotī haiñ
pahlī pañkhuḌī yaad dilātī hai us lamhe kī jab maiñ ne
pahlī baar tumheñ bharī mahfil meñ apnī taraf musalsal takte hue dekh liyā thā
dūsrī pañkhuḌī jab ham pahlī baar ek dūsre ko kuchh kahe baġhair
bas yūñhī jaan buujh kar nazar bachāte hue ek rāhdārī se guzar ga.e the
phir tīsrī baar jab ham āchānak ek moḌ par kahīñ mile
aur ham ne bahut saarī bāteñ kiiñ aur bahut saare baras
ek saath pal meñ guzār diye
aur chauthī baar
ab maiñ bhūlne lagā huuñ
bahut dinoñ se Thahrī huī udāsī keī vajah se shāyad
kuchh log kahte haiñ udāsī tanhā.ī keī kokh se janam letī hai
mumkin hai Thiik kahte hoñ
kuchh log kahte haiñ bahut tanhā rahnā bhī udāsī kā sabab ban jaatā hai
mumkin hai ye bhī Thiik ho
mumkin hai tum aao to bhūlī huī saarī bāteñ phir se yaad aa jaa.eñ
mumkin hai tum aao to vo bāteñ bhī maiñ bhuul chukā huuñ jo abhī mujhe yaad haiñ
yādoñ ke baare meñ aur udāsī ke baare meñ aur tanhā.ī ke baare meñ
koī baat yaqīn se nahīñ kahī jā saktī
tum ne jo phul mujhe ruKHsat hote waqt diya tha
wo nazm main ne tumhaari yaadon ke sath lifafe mein band kar ke rakh di thi
aaj dinon baad bahut akele main use khol kar dekha hai
phul ki nau pankhuDiyan hain
nazm ke nau misre
yaaden bhi kaisi ajib hoti hain
pahli pankhuDi yaad dilati hai us lamhe ki jab main ne
pahli bar tumhein bhari mahfil mein apni taraf musalsal takte hue dekh liya tha
dusri pankhuDi jab hum pahli bar ek dusre ko kuchh kahe baghair
bas yunhi jaan bujh kar nazar bachate hue ek rahdari se guzar gae the
phir tisri bar jab hum aachanak ek moD par kahin mile
aur hum ne bahut sari baaten kin aur bahut sare baras
ek sath pal mein guzar diye
aur chauthi bar
ab main bhulne laga hun
bahut dinon se Thahri hui udasi kei wajah se shayad
kuchh log kahte hain udasi tanhai kei kokh se janam leti hai
mumkin hai Thik kahte hon
kuchh log kahte hain bahut tanha rahna bhi udasi ka sabab ban jata hai
mumkin hai ye bhi Thik ho
mumkin hai tum aao to bhuli hui sari baaten phir se yaad aa jaen
mumkin hai tum aao to wo baaten bhi main bhul chuka hun jo abhi mujhe yaad hain
yaadon ke bare mein aur udasi ke bare mein aur tanhai ke bare mein
koi baat yaqin se nahin kahi ja sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.