biTTu baatuni
boltī hai kyā Tar-Tar bātūnī biTTū
chup nahīñ rahtī lahza bhar bātūnī biTTū
ruk nahīñ saktī ek hī saañs meñ boltī jaa.e
ulTā sīdhā be-matlab jo muñh meñ aa.e
bhaa.ī kaheñ maiñ paḌhtā huuñ mat dhyān baTāo
baajī bolīñ bhāgo mere kaan na khaao
bole koī kisī se to ye biich meñ Tapke
baat kare to uchke maTke āñkheñ jhapke
jab dekho tab laarā laarā rī rī rī rī
jab dekho tab haahā haahā hī hī hī hī
ammī ammī vo jo haiñ naañ aunty server
aaj pahan kar aa.iiñ thī ik niilā jampar
haañ niilā sā kuchh uudā kuchh niilā niilā
lagtā thā kuchh un ke uupar Dhīlā Dhīlā
laḌne lagī phir mujh se vo bilqīs kī bachchī
is Dibiyā kā Dhaknā to hai bilkul pachchī
mahr ne lī bilqīs kī chuTkī hū hū hū hū
ainī kī gul se nahīñ bantī hū hū hū hū
iffat aur maiñ jhūlā jhūlte baarī baarī
ḳhāla bī kī choTī hai kyā lambī sī
baano ke ghar aa.ī hai boltī miinā baajī
hotā hai ik Taañg kā murġhā hai nā baajī
kartī haiñ kyoñ shaam ko chiḌiyāñ cheñ cheñ cheñ cheñ
abbū aap zarā fazlū ke kaan to khīñcheñ
vo dekho phir aan ke baiThā chhat par kavvā
baavā aadam kī thiiñ biivī maamā havvā
duur se aatā dekheñ to ghabrā.īñ paḌosan
log kaheñ lo vo aa dhamkīñ bī-bakvāsan
biTTū bī bī sun to lo sab hañste haiñ tum par
dekho thoḌī der zarā ḳhāmosh bhī rah kar
bolti hai kya Tar-Tar baatuni biTTu
chup nahin rahti lahza bhar baatuni biTTu
ruk nahin sakti ek hi sans mein bolti jae
ulTa sidha be-matlab jo munh mein aae
bhai kahen main paDhta hun mat dhyan baTao
baji bolin bhago mere kan na khao
bole koi kisi se to ye bich mein Tapke
baat kare to uchke maTke aankhen jhapke
jab dekho tab lara lara ri ri ri ri
jab dekho tab haha haha hi hi hi hi
ammi ammi wo jo hain nan aunty serwer
aaj pahan kar aain thi ek nila jampar
han nila sa kuchh uda kuchh nila nila
lagta tha kuchh un ke upar Dhila Dhila
laDne lagi phir mujh se wo bilqis ki bachchi
is Dibiya ka Dhakna to hai bilkul pachchi
mahr ne li bilqis ki chuTki hu hu hu hu
aini ki gul se nahin banti hu hu hu hu
iffat aur main jhula jhulte bari bari
KHala bi ki choTi hai kya lambi si
bano ke ghar aai hai bolti mina baji
hota hai ek Tang ka murgha hai na baji
karti hain kyon sham ko chiDiyan chen chen chen chen
abbu aap zara fazlu ke kan to khinchen
wo dekho phir aan ke baiTha chhat par kawwa
bawa aadam ki thin biwi mama hawwa
dur se aata dekhen to ghabrain paDosan
log kahen lo wo aa dhamkin bi-bakwasan
biTTu bi bi sun to lo sab hanste hain tum par
dekho thoDi der zara KHamosh bhi rah kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.