chhoTi si bachchi
maiñ nazm likhtā huuñ
chhoTī sī bachchī mujhe dekhtī hai
aur mere paas baiTh jaatī hai
maiñ likhtā rahtā huuñ
vo takiye par apne bāloñ bhare bandar ko sulāne lagtī hai
vo apne chhoTe se hāthī ko
hāthoñ meñ le kar us se bāteñ kartī haiñ
bāhar se firing kī āvāz aatī hai
maiñ us se pūchhtā huuñ
Dar to nahīñ lag rahā?
nahīñ vo bahut āsānī se javāb detī hai
aur apnā hāthī mujhe de detī hai
jahāñ shīshe ke do chamakdār baizavī TukḌoñ meñ
chhoTī sī bachchī kā aks
hamesha jhilmilātā rahtā hai
maiñ nazm likhtā rahtā huuñ
khelte khelte achānak
vo mujh se pūchhtī hai
'zīshān', kyā tumheñ bhī
bahut saarā home-work milā hai?
haañ, bahut saarā
maiñ kahtā huuñ
aur us ke hāthī se khelne lagtā huuñ
main nazm likhta hun
chhoTi si bachchi mujhe dekhti hai
aur mere pas baiTh jati hai
main likhta rahta hun
wo takiye par apne baalon bhare bandar ko sulane lagti hai
wo apne chhoTe se hathi ko
hathon mein le kar us se baaten karti hain
bahar se firing ki aawaz aati hai
main us se puchhta hun
Dar to nahin lag raha?
nahin wo bahut aasani se jawab deti hai
aur apna hathi mujhe de deti hai
jahan shishe ke do chamakdar baizawi TukDon mein
chhoTi si bachchi ka aks
hamesha jhilmilata rahta hai
main nazm likhta rahta hun
khelte khelte achanak
wo mujh se puchhti hai
'zishan', kya tumhein bhi
bahut sara home-work mila hai?
han, bahut sara
main kahta hun
aur us ke hathi se khelne lagta hun
- Book : saarii nazmen (Pg. 393)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.