chizen apni jagah tabdil karna chahti hain
us lafz kā
kyā matlab hai jo
tum mohabbat meñ shukr-gizārī ke liye
ek ḳhāse mauqe par
istimāl kartī ho
kisī aur jagah
kisī aur shaḳhs ke sāmne
jazbāt ke shiddat se iz.hār ke liye
kyā isī tarah is lafz ko
dohrāyā jā saktā hai?
kyā ise kahte hue
lafzoñ kī sāḳht
aur durust adā.egī kā
hamesha ḳhayāl rakhnā hogā?
kyā merī thoḌī sī
be-ehtiyātī us kā mafhūm
bahut ziyāda tabdīl to nahīñ kar degī
kyā is lafz ke liye
kisī dūsrī zabān meñ
koī mutabādil lafz
ziyāda madad-gār sābit nahīñ hogā?
aur sab bātoñ ke bāvajūd
maiñ jo kuchh chāhtā huuñ
shāyad vāzeh na ho sake
is lafz ke liye
jo tum kahtī ho ek ḳhaas mauqe par
mohabbat meñ shukr-guzārī ke taur par
jab hamesha kī tarah
chīzeñ apnī jagah tabdīl karnā chāhtī haiñ
us lafz ka
kya matlab hai jo
tum mohabbat mein shukr-gizari ke liye
ek KHase mauqe par
istimal karti ho
kisi aur jagah
kisi aur shaKHs ke samne
jazbaat ke shiddat se izhaar ke liye
kya isi tarah is lafz ko
dohraya ja sakta hai?
kya ise kahte hue
lafzon ki saKHt
aur durust adaegi ka
hamesha KHayal rakhna hoga?
kya meri thoDi si
be-ehtiyati us ka mafhum
bahut ziyaada tabdil to nahin kar degi
kya is lafz ke liye
kisi dusri zaban mein
koi mutabaadil lafz
ziyaada madad-gar sabit nahin hoga?
aur sab baaton ke bawajud
main jo kuchh chahta hun
shayad wazeh na ho sake
is lafz ke liye
jo tum kahti ho ek KHas mauqe par
mohabbat mein shukr-guzari ke taur par
jab hamesha ki tarah
chizen apni jagah tabdil karna chahti hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 318)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.