childrens-day
aaj kā din bachchoñ kā din hai
bachchoñ kī ḳhushiyoñ kā din hai
raushan hoñ bachchoñ ke chehre
in par hoñ ḳhushiyoñ ke pahre
tan par kapḌe hoñ bhaḌkīle
paañv meñ juute huuñ chamkīle
nācho gaao jashn manāo
khelo kuudo mauj uḌaao
'ārifa' 'monī' 'arshī' 'sumbul'
lahko chahko misl-e-bulbul
'faiz' 'shahīr' o 'najmī' 'ġhāzī'
ḳhuub rahegī ātish-bāzī
aaj 'farāġh' un ko mat DāñTo
sab bachchoñ meñ toffē bāñTo
aaj ka din bachchon ka din hai
bachchon ki KHushiyon ka din hai
raushan hon bachchon ke chehre
in par hon KHushiyon ke pahre
tan par kapDe hon bhaDkile
panw mein jute hun chamkile
nacho gao jashn manao
khelo kudo mauj uDao
'arifa' 'moni' 'arshi' 'sumbul'
lahko chahko misl-e-bulbul
'faiz' 'shahir' o 'najmi' 'ghazi'
KHub rahegi aatish-bazi
aaj 'faragh' un ko mat DanTo
sab bachchon mein toffee banTo
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.