fawwara
aao chaleñ favvāra dekheñ
paanī kā nazzāra dekheñ
dekh kar manzar pyārā pyārā
jī ḳhush ho jaa.e hamārā
favvāra hai hauz ke andar
jaise ho tālāb meñ mandar
hauz ke chāroñ jānib gamle
ḳhuub haiñ qarīne se rakkhe
gamloñ meñ paudoñ ke patte
ā.ankhoñ ko haiñ tarāvat dete
favvāre kā ubalnā dekho
phir paanī kā uchhalnā dekho
yuuñ uḌte haiñ paanī ke qatre
jaise koī mahtābī chhūTe
paudoñ pe qatroñ kā bikharnā
pattoñ kā dhul dhul ke nikharnā
kaam ye kab ho aur kisī se
baaġh ne raunaq paa.ī isī se
'nayyar' dekhne aao tum bhī
aao dil bahlāo tum bhī
aao chalen fawwara dekhen
pani ka nazzara dekhen
dekh kar manzar pyara pyara
ji KHush ho jae hamara
fawwara hai hauz ke andar
jaise ho talab mein mandar
hauz ke chaaron jaanib gamle
KHub hain qarine se rakkhe
gamlon mein paudon ke patte
aaankhon ko hain tarawat dete
fawware ka ubalna dekho
phir pani ka uchhalna dekho
yun uDte hain pani ke qatre
jaise koi mahtabi chhuTe
paudon pe qatron ka bikharna
patton ka dhul dhul ke nikharna
kaam ye kab ho aur kisi se
bagh ne raunaq pai isi se
'nayyar' dekhne aao tum bhi
aao dil bahlao tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.