kya aur kaun
purāne daur meñ rahtā thā ik kisān aisā
jo baat baat pe sab se savāl kartā thā
hasīn aur zahīn apne donoñ beToñ ke
ḳhud us ne naam bhī kyā aur kaun rakkhe the
baḌā thā umr meñ kyā us se kaun thā chhoTā
sharīr donoñ the aur qad thā donoñ kā ūñchā
ye vāqi.a hai ki ik roz apnī hājat se
za.iif aayā koī un ke baap se milne
kahā ye donoñ ne is se abhī ga.e haiñ kahīñ
vo lauT ā.eñge jaldī hameñ hai is kā yaqīñ
agar ho kaam zarūrī to baiThiye baabā
za.iif soch ke kuchh un ke ghar meñ baiTh gayā
savāl us ne kiyā kyā se kyā hai naam tirā
javāb hañs ke diyā kyā ne kyā hai naam mirā
kahā za.iif ne maiñ sun sakā na naam tirā
ḳhudā-rā phir se batā mujh ko terā naam hai kyā
to kyā ne zor se fauran kahā ki maiñ kyā huuñ
tumhārā beTā huuñ baabā tumhārā beTā huuñ
za.iif sun ke huā mushta.il javāb us kā
ruḳh apnā kaun kī jānib phir us ne moḌ liyā
kiyā savāl ye us se hai bhaa.ī kaun tirā
kahā ye kaun ne kyā merā bhaa.ī hai baabā
za.iif zor se bolā ki kyā hai naam tirā
kahā ye kaun ne maiñ kaun huuñ mire baabā
kiyā savāl ye phir us se terā naam hai kyā
mire savāl ko kyā ab bhī tū nahīñ samjhā
batā tū kaun hai ye sun ke kaun phir bolā
maiñ kaun huuñ ye haqīqat hai ai mire baabā
kahā ye kyā ne mirā naam kyā hai ai baabā
nahīñ hai shak koī is meñ hai bhaa.ī kaun mirā
za.iif sun ke ye aape se ho gayā bāhar
kahā ki sharm ho tum par sharīr-o-bad aḳhtar
ye kah ke tezī se bāhar nikal gayā ghar se
sharīr laḌke magar khilkhilā ke hañste rahe
purane daur mein rahta tha ek kisan aisa
jo baat baat pe sab se sawal karta tha
hasin aur zahin apne donon beTon ke
KHud us ne nam bhi kya aur kaun rakkhe the
baDa tha umr mein kya us se kaun tha chhoTa
sharir donon the aur qad tha donon ka uncha
ye waqia hai ki ek roz apni hajat se
zaif aaya koi un ke bap se milne
kaha ye donon ne is se abhi gae hain kahin
wo lauT aaenge jaldi hamein hai is ka yaqin
agar ho kaam zaruri to baiThiye baba
zaif soch ke kuchh un ke ghar mein baiTh gaya
sawal us ne kiya kya se kya hai nam tera
jawab hans ke diya kya ne kya hai nam mera
kaha zaif ne main sun saka na nam tera
KHuda-ra phir se bata mujh ko tera nam hai kya
to kya ne zor se fauran kaha ki main kya hun
tumhaara beTa hun baba tumhaara beTa hun
zaif sun ke hua mushtail jawab us ka
ruKH apna kaun ki jaanib phir us ne moD liya
kiya sawal ye us se hai bhai kaun tera
kaha ye kaun ne kya mera bhai hai baba
zaif zor se bola ki kya hai nam tera
kaha ye kaun ne main kaun hun mere baba
kiya sawal ye phir us se tera nam hai kya
mere sawal ko kya ab bhi tu nahin samjha
bata tu kaun hai ye sun ke kaun phir bola
main kaun hun ye haqiqat hai ai mere baba
kaha ye kya ne mera nam kya hai ai baba
nahin hai shak koi is mein hai bhai kaun mera
zaif sun ke ye aape se ho gaya bahar
kaha ki sharm ho tum par sharir-o-bad aKHtar
ye kah ke tezi se bahar nikal gaya ghar se
sharir laDke magar khilkhila ke hanste rahe
- Book : Tazgi (Pg. 51)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.