murgha
kukḌūñ-kūñ jī kukḌūñ-kūñ
dekho maiñ ik murġhā huuñ
tum ho insāñ so.e hue
aur maiñ dekho jaagā huuñ
raat ko jaate dekh chukā
sub.h kī aahaT suntā huuñ
manzar sub.h kā hai aisā
tum ko kyuuñ āvāz na duuñ
sūraj kā rath niklā hai
bistar meñ tum chhupe ho kyuuñ
sun lī merī baañg magar
phir bhī na reñgī kaan pe juuñ
kukDun-kun ji kukDun-kun
dekho main ek murgha hun
tum ho insan soe hue
aur main dekho jaga hun
raat ko jate dekh chuka
subh ki aahaT sunta hun
manzar subh ka hai aisa
tum ko kyun aawaz na dun
suraj ka rath nikla hai
bistar mein tum chhupe ho kyun
sun li meri bang magar
phir bhi na rengi kan pe jun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.