dua
ye jabr-e-māh-o-sāl meñ ghirī huī zamīñ mirī gavāh hai
nashāt kī abad-kanār manziloñ meñ ek umr se maiñ un karīm aur jamīl sā.atoñ kā muntazir huuñ
jin kī bāz-gasht se mire vajūd kī sadāqatoñ kā inkishāf ho
ḳhudā kare bashārateñ sunāne vaale ḳhush-kalām tā.eroñ kī Toliyāñ
ufuq se shāḳh-e-gul talak alāmat-e-visāl kī lakīreñ khīñch deñ
lahū kī vus.atoñ kā inkishāf ho
lahū kī azmatoñ kā inkishāf ho
badan ke rāste vajūd kī sadāqatoñ kā inkishāf ho
ye jabr-e-mah-o-sal mein ghiri hui zamin meri gawah hai
nashat ki abad-kanar manzilon mein ek umr se main un karim aur jamil saaton ka muntazir hun
jin ki baz-gasht se mere wajud ki sadaqaton ka inkishaf ho
KHuda kare bashaaraten sunane wale KHush-kalam taeron ki Toliyan
ufuq se shaKH-e-gul talak alamat-e-visal ki lakiren khinch den
lahu ki wusaton ka inkishaf ho
lahu ki azmaton ka inkishaf ho
badan ke raste wajud ki sadaqaton ka inkishaf ho
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.