aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHiri tamashai

Shamsur Rahman Faruqi

aaKHiri tamashai

Shamsur Rahman Faruqi

MORE BYShamsur Rahman Faruqi

    uTho ki vaqt ḳhatm ho gayā

    tamāsh-bīnoñ meñ tum āḳhirī rah ga.e ho

    ab chalo

    yahāñ se āsmān tak tamām shahr chādareñ lapeT ga.iiñ

    zamīn sañg-reza saḳht

    daañt safed malgajī dikhā.ī de rahī hai har taraf

    tumheñ jahāñ gumān-e-sabza thā

    vo jhalak rahī hai kohna kāġhazoñ barf

    vo jo chale ga.e unheñ to iḳhtitāmiye ke sab siyāh manzaroñ ilm thā

    vo pahle aa.e the isī liye vo aqalmand the tumheñ

    to sub.h pata na shaam ḳhabar tumheñ to

    itnā bhī pata nahīñ ki khel ḳhatm ho to us ko shaam

    kahte haiñ ai nanhe shā.iqān-e-raqs

    ab gharoñ ko jaao

    uTho ki waqt KHatm ho gaya

    tamash-binon mein tum aaKHiri hi rah gae ho

    ab chalo

    yahan se aasman tak tamam shahr chadaren lapeT li gain

    zamin sang-reza saKHt

    dant si safed malgaji dikhai de rahi hai har taraf

    tumhein jahan guman-e-sabza tha

    wo jhalak rahi hai kohna kaghazon ki barf

    wo jo chale gae unhen to iKHtitamiye ke sab siyah manzaron ka ilm tha

    wo pahle aae the isi liye wo aqalmand the tumhein

    to subh ka pata na sham ki KHabar tumhein to

    itna bhi pata nahin ki khel KHatm ho to us ko sham

    kahte hain ai nanhe shaiqan-e-raqs

    ab gharon ko jao

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Akhiri tamashai - Shamsur rahman Farooqui Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now