Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id

MORE BYVafa Barahi

    kaho ye muġhannī se gaa.e chalā

    navā-e-masarrat sunā.e chalā

    masarrat ke muzhde ko laa.e chalā

    zamāne ko be-ḳhud banā.e chalā

    zamāne pe chhā.ī hai īd-e-masarrat

    dul.han ban ke aa.ī hai īd-e-masarrat

    munāsib hai kuchh intizām-e-masarrat

    karūñ ḳhalq ko shād-kām-e-masarrat

    liye jā.ūñ maiñ dil se nām-e-masarrat

    salām-e-masarrat kalām-e-masarrat

    masarrat bhī apnī jagah jhūmtī hai

    qadam iid ab ḳhushī chūmtī hai

    vatan mohabbat ke naġhme ko kar

    harīfoñ ko apne gale se lagā kar

    mohabbat se ġhairoñ ko qaabū meñ kar

    jo rūThe hue haiñ unheñ bhī manā kar

    manāo ḳhushī iid roza-dāro

    dikhāo ḳhushī iid roza-dāro

    kaho ye mughanni se gae chala ja

    nawa-e-masarrat sunae chala ja

    masarrat ke muzhde ko lae chala ja

    zamane ko be-KHud banae chala ja

    zamane pe chhai hai id-e-masarrat

    dulhan ban ke aai hai id-e-masarrat

    munasib hai kuchh intizam-e-masarrat

    karun KHalq ko shad-kaam-e-masarrat

    liye jaun main dil se nam-e-masarrat

    salam-e-masarrat kalam-e-masarrat

    masarrat bhi apni jagah jhumti hai

    qadam id ka ab KHushi chumti hai

    watan ki mohabbat ke naghme ko ga kar

    harifon ko apne gale se laga kar

    mohabbat se ghairon ko qabu mein la kar

    jo ruThe hue hain unhen bhi mana kar

    manao KHushi id ki roza-daro

    dikhao KHushi id ki roza-daro

    Source:

    Sharar-e-Fitrat (Pg. 74)

    • Author: Vafa Barahi
      • Publisher: Ishaat Ghar, Patna
      • Year of Publication: 1952

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now