hum bachche
jugnū titlī phuul sitāre
ham bachche haiñ aañkh ke taare
sūraj chāñd aur gagan hamāre
ham haiñ is jag ke ujiyāre
bijlī bārish kashtī tūfāñ
dhuul aur miTTī apne mehmāñ
ham meñ haiñ imkān ke sāmāñ
peḌoñ pe ham ne jhūle Daale
ham haiñ is jag ke ujiyāre
rang birange hañste gaate
apnī dhun meñ baḌhte jaate
ḳhvāb-e-asp ko eḌ lagāte
havā ke dosh pe ham lahrāte
ham bachche haiñ behad pyāre
ham haiñ is jag ke ujiyāre
tom and jerry logo alice aur wonderland
Dāyan jaadū Tone pariyoñ ke ham fan
khel tamāsha dhuum dhaḌākā gillī DañDā
ham meñ hai koī lak-lak koī musTanDā
ham sab haiñ ḳhūbī ke piTāre
ham haiñ is jag ke ujiyāre
jugnu titli phul sitare
hum bachche hain aankh ke tare
suraj chand aur gagan hamare
hum hain is jag ke ujiyare
bijli barish kashti tufan
dhul aur miTTi apne mehman
hum mein hain imkan ke saman
peDon pe hum ne jhule Dale
hum hain is jag ke ujiyare
rang birange hanste gate
apni dhun mein baDhte jate
KHwab-e-asp ko eD lagate
hawa ke dosh pe hum lahraate
hum bachche hain behad pyare
hum hain is jag ke ujiyare
tom and jerry logo alice aur wonderland
Dayan jadu Tone pariyon ke hum fan
khel tamasha dhum dhaDaka gilli DanDa
hum mein hai koi lak-lak koi musTanDa
hum sab hain KHubi ke piTare
hum hain is jag ke ujiyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.