hamare KHwab kahin nahin hain
tumhāre paas ek jañgal hai
jahāñ kahīñ kahīñ āsmān
aur ḳhushī hai
aur ek patañg
jis par koī nishān
yā rañg nahīñ hai
tumhāre paas ek ghaḌī hai
jis meñ merā vaqt
yā mohabbat band hai
ek par hai
jis se koī nazm
yā kahānī likh sakte haiñ
aur ek aañsū
jo kisī zahr
yā kisī ke liye nahīñ hai
tumhaare pas ek jangal hai
jahan kahin kahin aasman
aur KHushi hai
aur ek patang
jis par koi nishan
ya rang nahin hai
tumhaare pas ek ghaDi hai
jis mein mera waqt
ya mohabbat band hai
ek par hai
jis se koi nazm
ya kahani likh sakte hain
aur ek aansu
jo kisi zahr
ya kisi ke liye nahin hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.