aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisi manaen holi

kanval Dibaivi

aisi manaen holi

kanval Dibaivi

MORE BYkanval Dibaivi

    ho ke sarshār bahut ishq se gaa.eñ holī

    ik na.e rañg se apnoñ ko sunā.eñ holī

    le ke aa.ī hai ajab mast adā.eñ holī

    mulk meñ aaj na.e ruḳh se dikhā.eñ holī

    aaj har shaḳhs ko detī hai sadā.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    mulk se firqa-parastī ko haTā Daalo

    dair-o-ka.aba ke tafarqe ko miTā Daalo

    hind ko desh mohabbat banā Daalo

    ye nayā giit zamāne ko sunā Daalo

    Daal de mulk meñ ulfat binā.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    jo mohabbat ke buzurgoñ ne jalā.e the diye

    paap tez havāoñ se vo ab bujhne lage

    aaj parhalād ke bhī hoñT nahīñ kyuuñ hilte

    har taraf pūjne vaale haiñ kañval kashyap ke

    kaash ban jaa.e gunāhoñ chitā.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    har taraf bahne lage amn-o-sukūñ dariyā

    kaash aa jaa.e buzurgoñ samay guzrā huā

    rañg ham sab ko badalnā hai agar bhārat

    aapsī phuuT se hai desh ko phir se ḳhatra

    ham ko lāzim hai ki nafrat jalā.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    apne bhārat se ġharībī ko miTānā hai hameñ

    apnī mehnat se na.e daur ko laanā hai hameñ

    desh meñ naaj ambār lagānā hai hameñ

    kār-ḳhānoñ meñ har ik chiiz banānā hai hameñ

    sāz-e-mehnat pe na.e tarz se gaa.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    hind ko aaj mohabbat zarūrat hai 'kañval'

    aaj har shaḳhs ko ulfat zarūrat hai 'kañval'

    ab kisānoñ ko bhī himmat zarūrat hai 'kañval'

    mulk ko ab isī daulat zarūrat hai 'kañval'

    de rahī hai yahī har ik ko sadā.eñ holī

    dosto aao chalo aisī manā.eñ holī

    ho ke sarshaar bahut ishq se gaen holi

    ek nae rang se apnon ko sunaen holi

    le ke aai hai ajab mast adaen holi

    mulk mein aaj nae ruKH se dikhaen holi

    aaj har shaKHs ko deti hai sadaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    mulk se firqa-parasti ko haTa hi Dalo

    dair-o-kaba ke tafarqe ko miTa hi Dalo

    hind ko desh mohabbat ka bana hi Dalo

    ye naya git zamane ko suna hi Dalo

    Dal de mulk mein ulfat ki binaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    jo mohabbat ke buzurgon ne jalae the diye

    pap ki tez hawaon se wo ab bujhne lage

    aaj parhalad ke bhi honT nahin kyun hilte

    har taraf pujne wale hain kanwal kashyap ke

    kash ban jae gunahon ki chitaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    har taraf bahne lage amn-o-sukun ka dariya

    kash aa jae buzurgon ka samay guzra hua

    rang hum sab ko badalna hai agar bhaarat ka

    aapsi phuT se hai desh ko phir se KHatra

    hum ko lazim hai ki nafrat ki jalaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    apne bhaarat se gharibi ko miTana hai hamein

    apni mehnat se nae daur ko lana hai hamein

    desh mein naj ka ambar lagana hai hamein

    kar-KHanon mein har ek chiz banana hai hamein

    saz-e-mehnat pe nae tarz se gaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    hind ko aaj mohabbat ki zarurat hai 'kanwal'

    aaj har shaKHs ko ulfat ki zarurat hai 'kanwal'

    ab kisanon ko bhi himmat ki zarurat hai 'kanwal'

    mulk ko ab isi daulat ki zarurat hai 'kanwal'

    de rahi hai yahi har ek ko sadaen holi

    dosto aao chalo aisi manaen holi

    Source:

    Mizraab (Kulliyat) (Pg. 193)

    • Author: Prof. Ibne Kanwal
      • Edition: 2010
      • Publisher: Kitabi Duniya, Delhi
      • Year of Publication: 2010

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now