Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

milan

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    jab hasīnoñ tasāvīr kitāboñ meñ mileñ

    kore kāġhaz savāloñ ke javāboñ meñ mileñ

    din ko theTar meñ mileñ raat ko bāġhoñ meñ mileñ

    mill ne vaale jo mileñ kuchh to hijāboñ meñ mileñ

    chāhne vāloñ is tarah chaman meñ ho milan

    jis tarah phuul chañbelī ke gulāboñ meñ mileñ

    maiñ dūlhā huuñ nayā aur na na.ī dūlhan tum

    donoñ būḌhe haiñ to kyoñ itne hijāboñ meñ mileñ

    umr baḌhtī hai to jazboñ meñ kamī hotī hai

    murġh-o-māhī ke maze kaise kabāboñ meñ mileñ

    isī ummīd pe maiḳhāne ke chakkar kaaTe

    shāyad ab achchhe bhale log ḳharāboñ meñ mileñ

    vasl lutf shab-e-hijr ke maare yuuñ leñ

    niiñd aa jaa.e jo donoñ ko to ḳhvāboñ meñ mileñ

    jin savāboñ ke bharose pe hai zinda vaa.iz

    hameñ shāyad vo gunāhoñ ke azāboñ meñ mileñ

    vā.iz-o-riñd agar shīr-o-shakar ho jaa.eñ

    zā.iqe pand-o-nasīhat ke sharāboñ meñ mileñ

    'ḳhvāh-maḳhvāh' milne se katrāte ho jin se din meñ

    kyā karoge jo tumheñ raat ko ḳhvāboñ meñ mileñ

    jab hasinon ki tasawir kitabon mein milen

    kore kaghaz hi sawalon ke jawabon mein milen

    din ko theTar mein milen raat ko baghon mein milen

    mill ne wale jo milen kuchh to hijabon mein milen

    chahne walon ka is tarah chaman mein ho milan

    jis tarah phul chanbeli ke gulabon mein milen

    na main dulha hun naya aur na nai dulhan tum

    donon buDhe hain to kyon itne hijabon mein milen

    umr baDhti hai to jazbon mein kami hoti hai

    murgh-o-mahi ke maze kaise kababon mein milen

    isi ummid pe maiKHane ke chakkar kaTe

    shayad ab achchhe bhale log KHarabon mein milen

    wasl ka lutf shab-e-hijr ke mare yun len

    nind aa jae jo donon ko to KHwabon mein milen

    jin sawabon ke bharose pe hai zinda waiz

    hamein shayad wo gunahon ke azabon mein milen

    waiz-o-rind agar shir-o-shakar ho jaen

    zaiqe pand-o-nasihat ke sharabon mein milen

    'KHwah-maKHwah' milne se katraate ho jin se din mein

    kya karoge jo tumhein raat ko KHwabon mein milen

    Source:

    (Pg. 26)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now