Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanziya ghazal

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    shā.irī meñ na kabhī shikva-e-rusvā.ī kar

    apne ash.ār ḳhud pazīrā.ī kar

    tere vīrān shab-o-roz bhī rañgīñ hoñge

    bas kisī tarah hasīnoñ se shanāsā.ī kar

    jo marīzān-e-mohabbat haiñ ġhamoñ ke maare

    un ash.ār-e-zarāfat se masīhā.ī kar

    peT aag bujhā mehnat-o-mazdūrī se

    vaqt bach jaa.e to mashq-e-suḳhan-ārā.ī kar

    bhuul kar ishq saudā na samā le sar meñ

    aur majnūñ tarah ḳhud ko na saudā.ī kar

    apnī tanhā.iyāñ yādoñ se daraḳhshāñ kar le

    phir tasavvur meñ sahī anjuman-ārā.ī kar

    ājizī aur na aañsū na fuġhāñ shāmil hai

    kuchh to fariyād ko qābil-e-shanvā.ī kar

    vaqt ke saath tirā dil bhī bahal jā.egā

    le ke kāġhaz-o-qalam qāfiya-paimā.ī kar

    apne māshūq ke ḳhvāboñ meñ chalā har shab

    'ḳhvāh-maḳhvāh' yuuñ bhī ilāj-e-ġham-e-tanhā.ī kar

    aur agar chāhe ki ho 'ḳhvāh-maḳhvāh' shohrat terī

    yūsufī gar nahīñ mumkin to zuleḳhā.ī kar

    shairi mein na kabhi shikwa-e-ruswai kar

    apne ashaar ki tu KHud hi pazirai kar

    tere viran shab-o-roz bhi rangin honge

    bas kisi tarah hasinon se shanasai kar

    jo marizan-e-mohabbat hain ghamon ke mare

    un ki ashaar-e-zarafat se masihai kar

    peT ki aag bujha mehnat-o-mazduri se

    waqt bach jae to mashq-e-suKHan-arai kar

    bhul kar ishq ka sauda na sama le sar mein

    aur majnun ki tarah KHud ko na saudai kar

    apni tanhaiyan yaadon se daraKHshan kar le

    phir tasawwur mein sahi anjuman-arai kar

    aajizi aur na aansu na fughan shamil hai

    kuchh to fariyaad ko tu qabil-e-shanwai kar

    waqt ke sath tera dil bhi bahal jaega

    le ke kaghaz-o-qalam qafiya-paimai kar

    apne mashuq ke KHwabon mein chala ja har shab

    'KHwah-maKHwah' yun bhi ilaj-e-gham-e-tanhai kar

    aur agar chahe ki ho 'KHwah-maKHwah' shohrat teri

    yusufi gar nahin mumkin to zuleKHai kar

    Source:

    Kaghaz Ke Teeshe (Pg. 87)

    • Author: Ghaus Khah makhah Hyderabadi
      • Year of Publication: 2009

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now