irina
zinda rahne ke liye
mujhe jo ilāqa diyā gayā hai
vahī merā īrīnā hai
maiñ nai is ke chāroñ taraf
ḳhār-dār tāroñ kī baaḌh lagā rakkhī hai
jin meñ har vaqt
currant gardish kartā rahtā hai
aur mere kutte
mere alāva kisī kī ḳhushbū se mānūs nahīñ
maiñ is duniyā ke baare meñ
un sab logoñ se
ziyāda jāntā huuñ
jo hamesha safar karte rahte haiñ
aur kahīñ nahīñ jaatā
mere paas ek album hai
jis meñ chand bādaloñ ke TukḌe
ḳhvāb aur logoñ ke chehre
mahfūz haiñ
yā ek marī huī titlī
jise mere kuttoñ ne
mere qadmoñ meñ lā ke
Daal diyā thā
mere paas ek kashtī hai
jo paanī kī āvāz aur lams se ajnabī hai
aur ek daraḳht
jo havā aur aag ke baare meñ kuchh nahīñ jāntā
mere paas dostoñ ko dene ke liye
bahut se tohfe aur mohabbat bharā dil maujūd hai
aur dushmanoñ ke liye ek talvār
jis kī pyaas kabhī nahīñ bujhtī
zinda rahne ke liye
mujhe jo ilaqa diya gaya hai
wahi mera irina hai
main nai is ke chaaron taraf
KHar-dar taron ki baDh laga rakkhi hai
jin mein har waqt
currant gardish karta rahta hai
aur mere kutte
mere alawa kisi ki KHushbu se manus nahin
main is duniya ke bare mein
un sab logon se
ziyaada jaanta hun
jo hamesha safar karte rahte hain
aur kahin nahin jata
mere pas ek album hai
jis mein chand baadalon ke TukDe
KHwab aur logon ke chehre
mahfuz hain
ya ek mari hui titli
jise mere kutton ne
mere qadmon mein la ke
Dal diya tha
mere pas ek kashti hai
jo pani ki aawaz aur lams se ajnabi hai
aur ek daraKHt
jo hawa aur aag ke bare mein kuchh nahin jaanta
mere pas doston ko dene ke liye
bahut se tohfe aur mohabbat bhara dil maujud hai
aur dushmanon ke liye ek talwar
jis ki pyas kabhi nahin bujhti
- Book : saarii nazmen (Pg. 423)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.