jeneral-sahib ki nak
jeneral-sāhib
rozāna sub.h-savere
ThanDe paanī se nahāte haiñ
aur tayyār hone lagte haiñ
vardī pahan kar
vo sīdhe lawn meñ jaate haiñ
taaza havā aur khile hue phuul
unheñ bahut pasand hai
vo din bahut ḳharāb guzartā hai
jab sola javān
chaar naa.eb sūbe-dār aur do kaptān
court-marshal ke
ahkāmāt sunte haiñ
aur maalī kī bhī
jāñ-baḳhshī nahīñ hotī
us din jeneral-sāhib
ek kalī ko apne juute ke nīche
ye kah ke kuchal dete haiñ:
us meñ koī ḳhushbū nahīñ
hameñ ba.ad meñ ma.alūm hotā hai
jeneral-sāhib kī naak
ek arse band thī
jeneral-sahib
rozana subh-sawere
ThanDe pani se nahate hain
aur tayyar hone lagte hain
wardi pahan kar
wo sidhe lawn mein jate hain
taza hawa aur khile hue phul
unhen bahut pasand hai
wo din bahut KHarab guzarta hai
jab sola jawan
chaar naeb sube-dar aur do kaptan
court-marshal ke
ahkaamat sunte hain
aur mali ki bhi
jaan-baKHshi nahin hoti
us din jeneral-sahib
ek kali ko apne jute ke niche
ye kah ke kuchal dete hain:
us mein koi KHushbu nahin
hamein baad mein malum hota hai
jeneral-sahib ki nak
ek arse band thi
- Book : saarii nazmen (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.