khilauna maut bhi hai
mire jism ke paiñtraoñ se pareshāñ thī vo
maiñ ne samjhānā chāhā use
ḳhudā jāntā hai
ki rattī barābar mujhe aur jiine kī ḳhvāhish nahīñ
sach to ye hai
aise mehmān se muñh chhupānā
ki jo sirf mere liye āsmānoñ se aayā ho
sharminda kartā hai mujh ko
bhalā ek insāñ ke bas meñ kahāñ maut ko chheḌnā
maiñ to Dartā huuñ tum se
ye koī aur hai jo mire sard pairoñ ko phir garm kar ke
tumheñ chheḌtā hai
mire ghar ke chakkar lagāne pe majbūr kartā hai
magar vo sisaktī rahī
apne pairoñ ke chhāloñ ko rotī rahī
aur maiñ hairat-zada sochne par ye majbūr thā
kyā mirī maut bhī
mere marne ke din
merī sāñsoñ kī gintī ke baare meñ utnī hī anjān hai
jitnā maiñ
mere jism ke paintraon se pareshan thi wo
main ne samjhana chaha use
KHuda jaanta hai
ki ratti barabar mujhe aur jine ki KHwahish nahin
sach to ye hai
aise mehman se munh chhupana
ki jo sirf mere liye aasmanon se aaya ho
sharminda karta hai mujh ko
bhala ek insan ke bas mein kahan maut ko chheDna
main to Darta hun tum se
ye koi aur hai jo mere sard pairon ko phir garm kar ke
tumhein chheDta hai
mere ghar ke chakkar lagane pe majbur karta hai
magar wo sisakti rahi
apne pairon ke chhaalon ko roti rahi
aur main hairat-zada sochne par ye majbur tha
kya meri maut bhi
mere marne ke din
meri sanson ki ginti ke bare mein utni hi anjaan hai
jitna main
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 126)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.