koi aawaz aati hai
ye jaadū kī koī bastī hai
yā mere taḳhayyul kī fusūñ-kārī
ki mere sāmne
ik dā.era-dar-dā.era phailī huī
ḳhvāboñ kī duniyā hai
jahāñ har aan
rang-o-nūr kī barsāt hotī hai
mirī socheñ mire jazbe mirā ehsās
ik paikar meñ Dhaltā hai
koī āvāz aatī hai
to merī ruuh ke pātāl se
lahreñ ubhartī haiñ
maiñ apne bojh se āzād ho kar
an-kahe lafzoñ ke bātin meñ utartā huuñ
to lā-mahdūd imkānāt ke manzar ubharte haiñ
ye jadu ki koi basti hai
ya mere taKHayyul ki fusun-kari
ki mere samne
ek daera-dar-daera phaili hui
KHwabon ki duniya hai
jahan har aan
rang-o-nur ki barsat hoti hai
meri sochen mere jazbe mera ehsas
ek paikar mein Dhalta hai
koi aawaz aati hai
to meri ruh ke patal se
lahren ubharti hain
main apne bojh se aazad ho kar
an-kahe lafzon ke baatin mein utarta hun
to la-mahdud imkanat ke manzar ubharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.