aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarmaya-dari

Asrarul Haq Majaz

sarmaya-dari

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    kaleja phuñk rahā hai aur zabāñ kahne se aarī hai

    batā.ūñ kyā tumheñ kyā chiiz ye sarmāya-dārī hai

    ye vo āñdhī hai jis rau meñ muflis nasheman hai

    ye vo bijlī hai jis zad meñ har dahqāñ ḳhirman hai

    ye apne haath meñ tahzīb fānūs letī hai

    magar mazdūr ke tan se lahū tak chuus letī hai

    ye insānī balā ḳhud ḳhūn-e-insānī gāhak hai

    vabā se baḌh ke mohlik maut se baḌh kar bhayānak hai

    na dekhe haiñ bure is ne na parkhe haiñ bhale is ne

    shikanjoñ meñ jakaḌ kar ghūñT Daale haiñ gale is ne

    balā-e-be-amāñ hai taur is ke nirāle haiñ

    ki is ne ġhaiz meñ ujḌe hue ghar phūñk Daale haiñ

    qayāmat is ke ġhamze jān-levā haiñ sitam is ke

    hamesha sīna-e-muflis pe paḌte haiñ qadam is ke

    kahīñ ye ḳhuuñ se fard-e-māl-o-zar tahrīr kartī hai

    kahīñ ye haDDiyāñ chun kar mahal ta.amīr kartī hai

    ġharīboñ muqaddas ḳhuun kar bahaktī hai

    mahal meñ nāchtī hai raqs-gāhoñ meñ thiraktī hai

    ba-zāhir chand fir.aunoñ dāman bhar diyā is ne

    magar gul-bāġh-e-ālam ko jahannam kar diyā is ne

    darinde sar jhukā dete haiñ lohā maan kar is

    nazar saffāk-tar is nafas makrūh-tar is

    jidhar chaltī hai barbādī ke sāmāñ saath chalte haiñ

    nahūsat ham-safar hotī hai shaitāñ saath chalte haiñ

    ye akasr luuT kar ma.asūm insānoñ ko rāhoñ meñ

    ḳhudā ke zamzame gaatī hai chhup kar ḳhānqāhoñ meñ

    ye Daa.in hai bharī godoñ se bachche chhīn letī hai

    ye ġhairat chhīn letī hai hamiyyat chhīn letī hai

    ye insānoñ se insānoñ fitrat chhīn letī hai

    ye āshob-e-halākat fitna-e-iskandar-o-dārā

    zamīñ ke devtāoñ kanīz-e-anjuman-ārā

    hamesha ḳhuun kar haDDiyoñ ke rath meñ chaltī hai

    zamāna chīḳh uThtā hai ye jab pahlū badaltī hai

    garajtī gūñjtī ye aaj bhī maidāñ meñ aatī hai

    magar bad-mast hai har har qadam par laḌkhaḌātī hai

    mubārak dosto labrez hai ab is paimāna

    uThāo āñdhiyāñ kamzor hai buniyād-e-kāshāna

    kaleja phunk raha hai aur zaban kahne se aari hai

    bataun kya tumhein kya chiz ye sarmaya-dari hai

    ye wo aandhi hai jis ki rau mein muflis ka nasheman hai

    ye wo bijli hai jis ki zad mein har dahqan ka KHirman hai

    ye apne hath mein tahzib ka fanus leti hai

    magar mazdur ke tan se lahu tak chus leti hai

    ye insani bala KHud KHun-e-insani ki gahak hai

    waba se baDh ke mohlik maut se baDh kar bhayanak hai

    na dekhe hain bure is ne na parkhe hain bhale is ne

    shikanjon mein jakaD kar ghunT Dale hain gale is ne

    bala-e-be-aman hai taur hi is ke nirale hain

    ki is ne ghaiz mein ujDe hue ghar phunk Dale hain

    qayamat is ke ghamze jaan-lewa hain sitam is ke

    hamesha sina-e-muflis pe paDte hain qadam is ke

    kahin ye KHun se fard-e-mal-o-zar tahrir karti hai

    kahin ye haDDiyan chun kar mahal tamir karti hai

    gharibon ka muqaddas KHun pi pi kar bahakti hai

    mahal mein nachti hai raqs-gahon mein thirakti hai

    ba-zahir chand firaunon ka daman bhar diya is ne

    magar gul-bagh-e-alam ko jahannam kar diya is ne

    darinde sar jhuka dete hain loha man kar is ka

    nazar saffak-tar is ki nafas makruh-tar is ka

    jidhar chalti hai barbaadi ke saman sath chalte hain

    nahusat ham-safar hoti hai shaitan sath chalte hain

    ye akasr luT kar masum insanon ko rahon mein

    KHuda ke zamzame gati hai chhup kar KHanqahon mein

    ye Dain hai bhari godon se bachche chhin leti hai

    ye ghairat chhin leti hai hamiyyat chhin leti hai

    ye insanon se insanon ki fitrat chhin leti hai

    ye aashob-e-halakat fitna-e-iskandar-o-dara

    zamin ke dewtaon ki kaniz-e-anjuman-ara

    hamesha KHun pi kar haDDiyon ke rath mein chalti hai

    zamana chiKH uThta hai ye jab pahlu badalti hai

    garajti gunjti ye aaj bhi maidan mein aati hai

    magar bad-mast hai har har qadam par laDkhaDati hai

    mubarak dosto labrez hai ab is ka paimana

    uThao aandhiyan kamzor hai buniyaad-e-kashana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source:

    Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 137)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now