Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

Zeeshan Sahil

meri chiDiyan hamesha mar jati hain

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    ḳhushī hālat meñ

    aañsū bahāte hue

    ḳhāmoshī ke saath

    merī chiḌiyāñ hamesha mar jaatī haiñ

    jab un se va.ada kiyā jaatā hai

    ki unheñ sair karāne ke liye

    shahr se bāhar le jaayā jā.egā

    rañg-birañgī titliyoñ vaale pinjre meñ

    ek saath baiThte hue

    merī chiḌiyāñ hamesha mar jaatī haiñ

    jab un se kahā jaatā hai

    unheñ ek ġhair-ābād jazīre meñ le kar

    āzād chhoḌ diyā jā.egā

    reshmī Dorī se apne paroñ ko bañdhvāte hue

    merī chiḌiyāñ hamesha mar jaatī haiñ

    jab unheñ batāyā jaatā hai

    agar vo chāheñ to chāñd ko chhū saktī haiñ

    kabhī na kabhī

    apne TuuTe hue paroñ ke saath

    chāñd taraf jaate hue

    merī chiḌiyāñ hamesha mar jaatī haiñ

    KHushi ki haalat mein

    ya aansu bahate hue

    KHamoshi ke sath

    meri chiDiyan hamesha mar jati hain

    jab un se wada kiya jata hai

    ki unhen sair karane ke liye

    shahr se bahar le jaya jaega

    rang-birangi titliyon wale pinjre mein

    ek sath baiThte hue

    meri chiDiyan hamesha mar jati hain

    jab un se kaha jata hai

    unhen ek ghair-abaad jazire mein le ja kar

    aazad chhoD diya jaega

    reshmi Dori se apne paron ko bandhwate hue

    meri chiDiyan hamesha mar jati hain

    jab unhen bataya jata hai

    agar wo chahen to chand ko chhu sakti hain

    kabhi na kabhi

    apne TuTe hue paron ke sath

    chand ki taraf jate hue

    meri chiDiyan hamesha mar jati hain

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 255)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now