Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

biswin sadi ka insan

Ahmad Nadeem Qasmi

biswin sadi ka insan

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    mujhe sameTo

    maiñ reza reza bikhar rahā huuñ

    na jaane maiñ baḌh rahā huuñ

    apne ġhubār-e-safar meñ har pal utar rahā huuñ

    na jaane maiñ rahā huuñ

    apne tarāshe hue na.e rāstoñ tanhā.iyoñ meñ har lahza mar rahā huuñ

    maiñ ek patthar sahī magar har savāl bāz-gasht ban kar javāb dūñgā

    mujhe pukāro mujhe sadā do

    maiñ ek sahrā sahī magar mujh pe ghir ke barso

    mujhe mahakne valvala do

    maiñ ik samundar sahī magar āftāb tarah mujh pe chamko

    mujhe bulandī samt uḌne hausla do

    mujhe na toḌo ki maiñ gul-e-tar sahī

    magar os ke bajā.e lahū meñ tar huuñ

    mujhe na maaro

    maiñ zindagī ke jamāl aur gahmā-gahmiyoñ payāmbar huuñ

    mujhe bachāo ki maiñ zamīñ huuñ

    karoḌoñ karoḌoñ kā.enāt-e-basīt meñ sirf maiñ huuñ

    jo ḳhudā ghar huuñ

    mujhe sameTo

    main reza reza bikhar raha hun

    na jaane main baDh raha hun

    ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun

    na jaane main ji raha hun

    ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun

    main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga

    mujhe pukaro mujhe sada do

    main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso

    mujhe mahakne ka walwala do

    main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko

    mujhe bulandi ki samt uDne ka hausla do

    mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahi

    magar os ke bajae lahu mein tar hun

    mujhe na maro

    main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun

    mujhe bachao ki main zamin hun

    karoDon karoDon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun

    jo KHuda ka ghar hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    biswin sadi ka insan Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now