nazm
sūraj kī ik kiran jab
shabnam se koñpaloñ par motī banā rahī thī
pattoñ meñ chhup ke baiThī
ek be-dhyān chiḌiyā kuchh gungunā rahī thī
ThanDī havā saḌak par
college kī laḌkiyoñ ke
ham-rāh jā rahī thī
be-tāb ik gilahrī
bādām kā shagūfa
shāyad chhupā rahī thī
guzrī huī mohabbat
bārish ke saath mil ke
bauchhār ban ga.ī thī
jab ham vahāñ nahīñ the
khiḌkī ke sāmne ik
dīvār ban ga.ī thī
suraj ki ek kiran jab
shabnam se konpalon par moti bana rahi thi
patton mein chhup ke baiThi
ek be-dhyan chiDiya kuchh gunguna rahi thi
ThanDi hawa saDak par
college ki laDkiyon ke
ham-rah ja rahi thi
be-tab ek gilahri
baadam ka shagufa
shayad chhupa rahi thi
guzri hui mohabbat
barish ke sath mil ke
bauchhaar ban gai thi
jab hum wahan nahin the
khiDki ke samne ek
diwar ban gai thi
- Book : saarii nazmen (Pg. 805)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.