nazm
maut aur zindagī kī sarhad par
vo kisī se nahīñ mile lekin
un ke jaane ke ba.ad logoñ ne
phuul dīvār ke qarīb rakkhe
mish.aleñ sīḌhiyoñ pe raushan kiiñ
ek mauhūm sī umiid meñ gum
laḌkiyoñ kī siyāh āñkhoñ se
āñsuoñ kī qatār chaltī rahī
jaane vāloñ ke ġham meñ tez havā
har taraf sogvār chaltī rahī
zindagī un ke ghar ke raste par
jaane kyuuñ baar baar chaltī rahī
maut aur zindagi ki sarhad par
wo kisi se nahin mile lekin
un ke jaane ke baad logon ne
phul diwar ke qarib rakkhe
mishalen siDhiyon pe raushan kin
ek mauhum si umid mein gum
laDkiyon ki siyah aankhon se
aansuon ki qatar chalti rahi
jaane walon ke gham mein tez hawa
har taraf sogwar chalti rahi
zindagi un ke ghar ke raste par
jaane kyun bar bar chalti rahi
- Book : saarii nazmen (Pg. 811)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.