nazm
tendulkar ik roz sitāre
aur ākāsh pe phaile bādal
cricket ke maidān meñ aa ke
āñkh-micholī kheleñge
tum un be-chāroñ ke
khel meñ
kabhī khaḌī dīvār na karnā
pal do pal
yā jīvan bhar ko
un kā sāthī
ban jaane se
pyāre tum inkār na karnā
agar shoaib-aḳhtar kī
geñd pe
jaldī out ho jaao to
nafrat kā iz.hār na karnā
jiit yā haar ke
bojhal-pan meñ
aañsū le kar apne man meñ
jab bhī tum
tanhā baiThe ho
paas paḌos kī saarī chiḌiyāñ
giit sunāne ā.eñgī
apne paroñ par tum ko
ambar tak le jaane ā.eñgī
tendulkar ek roz sitare
aur aakash pe phaile baadal
cricket ke maidan mein aa ke
aankh-micholi khelenge
tum un be-chaaron ke
khel mein
kabhi khaDi diwar na karna
pal do pal
ya jiwan bhar ko
un ka sathi
ban jaane se
pyare tum inkar na karna
agar shoaib-aKHtar ki
gend pe
jaldi out ho jao to
nafrat ka izhaar na karna
jit ya haar ke
bojhal-pan mein
aansu le kar apne man mein
jab bhi tum
tanha baiThe ho
pas paDos ki sari chiDiyan
git sunane aaengi
apne paron par tum ko
ambar tak le jaane aaengi
- Book : saarii nazmen (Pg. 775)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.