aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-shuguni

Translated By: Yasmeen Hameed

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif

bad-shuguni

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    ajab ghaḌī thī

    kitāb kīchaḌ meñ gir paḌī thī

    chamakte lafzoñ mailī āñkhoñ meñ uljhe aañsū bulā rahe the

    magar mujhe hosh kahāñ thā

    nazar meñ ik aur jahāñ thā

    na.e na.e manzaroñ ḳhvāhish meñ apne manzar se kaT gayā huuñ

    na.e na.e dā.eroñ gardish meñ apne mehvar se haT gayā huuñ

    sila jazā ḳhauf nā-umīdī

    umiid imkān be-yaqīnī

    hazār ḳhānoñ meñ baT gayā huuñ

    ab is se pahle ki raat apnī kamand Daale ye chāhtā huuñ ki lauT jā.ūñ

    ajab nahīñ vo kitāb ab bhī vahīñ paḌī ho

    ajab nahīñ aaj bhī mirī raah dekhtī ho

    chamakte lafzoñ mailī āñkhoñ meñ uljhe aañsū

    ajab nahīñ mere lafz mujh ko muaaf kar deñ

    havā-o-hirs-o-havas sab gard saaf kar deñ

    ajab ghaḌī thī

    kitāb kīchaḌ meñ gir paḌī thī

    A BAD OMEN

    ajab ghaDi thi

    kitab kichaD mein gir paDi thi

    chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu bula rahe the

    magar mujhe hosh hi kahan tha

    nazar mein ek aur hi jahan tha

    nae nae manzaron ki KHwahish mein apne manzar se kaT gaya hun

    nae nae daeron ki gardish mein apne mehwar se haT gaya hun

    sila jaza KHauf na-umidi

    umid imkan be-yaqini

    hazar KHanon mein baT gaya hun

    ab is se pahle ki raat apni kamand Dale ye chahta hun ki lauT jaun

    ajab nahin wo kitab ab bhi wahin paDi ho

    ajab nahin aaj bhi meri rah dekhti ho

    chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu

    ajab nahin mere lafz mujh ko muaf kar den

    hawa-o-hirs-o-hawas ki sab gard saf kar den

    ajab ghaDi thi

    kitab kichaD mein gir paDi thi

    A BAD OMEN

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Nomaan Shauque

    bad-shuguni Nomaan Shauque

    Iftikhar Arif

    bad-shuguni Iftikhar Arif

    Source:

    Harf-e-Baaryab (Pg. 27)

    • Author: IftiKHar Arif
      • Edition: 2004
      • Publisher: Educational Publishing House New Dehli
      • Year of Publication: 2004

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now