aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-guzar

Shaz Tamkanat

dar-guzar

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai

    pheñk aa.e the mujhe yūsuf-e-kan.āñ tarah

    khīñch laa.e the mujhe shahr ke bāzāroñ meñ

    sab ko dikhlāte the ā.īna-e-hairāñ tarah

    log kahte haiñ ki koī bhī ḳharīdār na thā

    kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai

    chhoḌ aa.e the sulagte hue maidāñ meñ mujhe

    eḌiyāñ ragḌīñ magar chashma-e-zamzam na milā

    kaise tanhā kiyā kis hāl-e-pareshāñ meñ mujhe

    kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai

    bāġh-e-āsā.ish hastī bhī dikhāyā mujh ko

    koī shaddād-numā thā koī namrūd-sifat

    be-gunāhī sazā thī ki vo sach in.aam

    rasan o daar ke mimbar pe biThāyā mujh ko

    kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai

    koī insān koī shaitāñ koī chehra koī naam

    hāfiza shīsha mānind dark jaatā hai

    ai ḳhudā tujh se to poshīda nahīñ hai koī raaz

    dost hoñge ki vo dushman mirā pahuñchā de salām

    shukr kartā huuñ ki duniyā ke ḳhazāne ne mujhe

    koī motī na sahī aañkh to giryāñ hai

    kyā diyā kyā na diyā ne ḳhudā-e-fayyāz

    kyā ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyāñ hai

    kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

    phenk aae the mujhe yusuf-e-kanan ki tarah

    khinch lae the mujhe shahr ke bazaron mein

    sab ko dikhlate the aaina-e-hairan ki tarah

    log kahte hain ki koi bhi KHaridar na tha

    kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

    chhoD aae the sulagte hue maidan mein mujhe

    eDiyan ragDin magar chashma-e-zamzam na mila

    kaise tanha kiya kis haal-e-pareshan mein mujhe

    kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

    bagh-e-asaish hasti bhi dikhaya mujh ko

    koi shaddad-numa tha koi namrud-sifat

    be-gunahi ki saza thi ki wo sach ka inam

    rasan o dar ke mimbar pe biThaya mujh ko

    kaun wo log the ab yaad nahin aata hai

    koi insan koi shaitan koi chehra koi nam

    hafiza shisha ki manind dark jata hai

    ai KHuda tujh se to poshida nahin hai koi raaz

    dost honge ki wo dushman mera pahuncha de salam

    shukr karta hun ki duniya ke KHazane ne mujhe

    koi moti na sahi aankh to giryan di hai

    kya diya kya na diya tu ne KHuda-e-fayyaz

    kya ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyan di hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Dar-guzar - Shaz Tamkanat Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now