Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

2 qahqaha

Takht Singh

2 qahqaha

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    ajab raat hai hadd-e-nigāh tak har-sū

    athāh zahar bharī chāñdnī jhiil hai

    varā-e-madd-e-nazar kohar hai taḳhayyul

    varā-e-hadd-e-taḳhayyul siyah fasīl hai

    samāñ hai saḌak hai saḌak ke dono taraf

    qatār tā-ba-ufuq hai ghane daraḳhtoñ

    havā sanaktī hai to chauñk chauñk paḌtī haiñ

    har ek peḌ meñ rūheñ tīra-baḳhtoñ

    kuchh aise ghuur ke bas gholte haiñ sannāTe

    havā ke zor se jab Tahniyāñ ulajhtī haiñ

    dhueñ se reñgte haiñ tah-ba-tah ḳhayāloñ meñ

    sukūt chīḳhtā hai sīTiyāñ bajtī haiñ

    nazar uThātā huuñ to zāviye nigāhoñ meñ

    uThā ke dhuul sarāboñ jhoñk dete haiñ

    qadam baḌhātā huuñ to azhdahe hayūloñ ke

    phanoñ ke tiir kaf-e-pā meñ Thoñk dete haiñ

    jo saañs letā huuñ to saañs saañs lau par

    tafakkurāt āñdhī chalne lagtī hai

    jo sochtā huuñ to ehsās ke mahlakoñ tak

    siyāhiyoñ ġhalāzat uchhalne lagtī hai

    dil-o-nigāh pe kitnī muhīb tezī se

    kuchh uljhanoñ ke siyah-nāg reñg aa.e haiñ

    qadam qadam pe hai kitnī amīq-e-fikr lau

    qadam qadam pe mirī rah meñ kitne saa.e haiñ

    matā-e-zīst marī laakh hech-māyā sahī

    magar sitāre falak ke na jaane kyuuñ yūñhī

    udaas udaas nigāhoñ se mujh ko takte haiñ

    bhalā ye saa.e mirī raah rok sakte haiñ

    ajab raat hai hadd-e-nigah tak har-su

    athah zahar bhari chandni ki jhil si hai

    wara-e-madd-e-nazar kohar hai taKHayyul ki

    wara-e-hadd-e-taKHayyul siyah fasil si hai

    saman hai hu ka saDak hai saDak ke dono taraf

    qatar ta-ba-ufuq hai ghane daraKHton ki

    hawa sanakti hai to chaunk chaunk paDti hain

    har ek peD mein ruhen si tira-baKHton ki

    kuchh aise ghur ke bas gholte hain sannaTe

    hawa ke zor se jab Tahniyan ulajhti hain

    dhuen se rengte hain tah-ba-tah KHayalon mein

    sukut chiKHta hai siTiyan si bajti hain

    nazar uThata hun to zawiye nigahon mein

    uTha ke dhul sarabon ki jhonk dete hain

    qadam baDhata hun to azhdahe hayulon ke

    phanon ke tir kaf-e-pa mein Thonk dete hain

    jo sans leta hun to sans sans ki lau par

    tafakkuraat ki aandhi si chalne lagti hai

    jo sochta hun to ehsas ke mahlakon tak

    siyahiyon ki ghalazat uchhalne lagti hai

    dil-o-nigah pe kitni muhib tezi se

    kuchh uljhanon ke siyah-nag reng aae hain

    qadam qadam pe hai kitni amiq-e-fikr ki lau

    qadam qadam pe meri rah mein kitne sae hain

    mata-e-zist mari lakh hech-maya sahi

    magar sitare falak ke na jaane kyun yunhi

    udas udas nigahon se mujh ko takte hain

    bhala ye sae meri rah rok sakte hain

    Source:

    auraq-shumara-number-02 (Pg. 81)

    • Author: Wazeer Arif Abdul Mateen
      • Edition: July-1968 Issu,02
      • Publisher: Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore
      • Year of Publication: July-1968 Issu,02
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now