Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina aur main

Khalid Mubashshir

aaina aur main

Khalid Mubashshir

MORE BYKhalid Mubashshir

    zamāne bhar meñ ā.īna sadāqat alāmat hai

    magar meñ is munkir huuñ

    bahut jhūTā hai ā.īna

    kabhī vo dev-qāmat hastiyoñ ko ek dam baunā dikhātā hai

    tilasmātī hai ā.īna

    kabhī pasta-qadoñ qad bahut ūñchā dikhātā hai

    bahut bahrūpiyā hai vo

    koī farba ho to us ko bahut dublā dikhātā hai

    bahut masḳhara hai vo

    chalo jaane bhī do ki aa.ina insān fitrat meñ shāyad Dhal gayā hogā

    magar kuchh sho.abda-bāzī had bhī hai

    ye ā.īna to mujh se bhī hamesha makr kartā hai

    jo merā haath ho sīdhā to vo ulTā dikhātā hai

    agar ulTā dikhātā huuñ to phir sīdhā dikhātā hai

    bahut jhūTā hai ā.īna

    magar ā.īna-e-ayyām meñ takzīb-e-ā.īna haisiyyat bhalā kyā hai

    ḳhudā jaane

    magar tārīḳh kahtī hai

    yahī takzīb-e-ā.īna, zamāne bhar ke shīshagar qabīle ke liye ḳhatrāt tasdīq-nāma hai

    mirī tazrīb-e-paiham se ye ā.īnoñ ke saudāgar shikasta haiñ

    shikasta kaifiyat meñ mujh se ye daryāft karte haiñ

    ki āḳhir kaun ho tum

    tumheñ in ā.inoñ se dushmanī kyuuñ hai

    hamesha ā.inoñ muñh chiḌhāte ho, sadā taz.hīk karte ho

    tum āḳhir chāhte kyā ho

    to lo maiñ aaj ye elaan kartā huuñ

    mire is ahd ke shīshagaro, saudāgaro sun lo!

    suno, āgāh ho jaao

    maiñ shā.er huuñ

    maiñ ā.īne ko ā.īna dikhātā huuñ!

    zamane bhar mein aaina sadaqat ki alamat hai

    magar mein is ka munkir hun

    bahut jhuTa hai aaina

    kabhi wo dew-qamat hastiyon ko ek dam bauna dikhata hai

    tilasmati hai aaina

    kabhi pasta-qadon ka qad bahut uncha dikhata hai

    bahut bahrupiya hai wo

    koi farba ho to us ko bahut dubla dikhata hai

    bahut hi masKHara hai wo

    chalo jaane bhi do ki aaina insan ki fitrat mein shayad Dhal gaya hoga

    magar kuchh shoabda-bazi ki had bhi hai

    ye aaina to mujh se bhi hamesha makr karta hai

    jo mera hath ho sidha to wo ulTa dikhata hai

    agar ulTa dikhata hun to phir sidha dikhata hai

    bahut jhuTa hai aaina

    magar aaina-e-ayyam mein takzib-e-aina ki haisiyyat bhala kya hai

    KHuda jaane

    magar tariKH kahti hai

    yahi takzib-e-aina, zamane bhar ke shishagar qabile ke liye KHatraat ka tasdiq-nama hai

    meri tazrib-e-paiham se ye aainon ke saudagar shikasta hain

    shikasta kaifiyat mein mujh se ye daryaft karte hain

    ki aaKHir kaun ho tum ji

    tumhein in aainon se dushmani kyun hai

    hamesha aainon ka munh chiDhate ho, sada tazhik karte ho

    tum aaKHir chahte kya ho

    to lo main aaj ye elan karta hun

    mere is ahd ke shishagaro, saudagaro sun lo!

    suno, aagah ho jao

    main shaer hun

    main aaine ko aaina dikhata hun!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now