Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai

Faiz Ludhianvi

ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai

Faiz Ludhianvi

MORE BYFaiz Ludhianvi

    ai na.e saal batā tujh meñ nayā-pan kyā hai

    har taraf ḳhalq ne kyoñ shor machā rakhā hai

    raushnī din vahī tāroñ bharī raat vahī

    aaj ham ko nazar aatī hai har ek baat vahī

    āsmān badlā hai afsos badlī hai zamīñ

    ek hindise badalnā koī jiddat to nahīñ

    agle barsoñ tarah hoñge qarīne tere

    kise mālūm nahīñ bārah mahīne tere

    january february march meñ paḌegī sardī

    aur april may june meñ ho garmī

    terā man dahr meñ kuchh kho.egā kuchh pā.egā

    apnī mī.ād basar kar ke chalā jā.egā

    nayā hai to dikhā sub.h na.ī shaam na.ī

    varna in āñkhoñ ne dekhe haiñ na.e saal ka.ī

    be-sabab log kyoñ dete haiñ mubārak-bādeñ

    ġhāliban bhuul ga.e vaqt kaḌvī yādeñ

    terī aamad se ghaTī umr jahāñ se sab

    'faiz' ne likkhī hai ye nazm nirāle Dhab

    ai nae sal bata tujh mein naya-pan kya hai

    har taraf KHalq ne kyon shor macha rakha hai

    raushni din ki wahi taron bhari raat wahi

    aaj hum ko nazar aati hai har ek baat wahi

    aasman badla hai afsos na badli hai zamin

    ek hindise ka badalna koi jiddat to nahin

    agle barson ki tarah honge qarine tere

    kise malum nahin barah mahine tere

    january february march mein paDegi sardi

    aur april may june mein ho gi garmi

    tera man dahr mein kuchh khoega kuchh paega

    apni miad basar kar ke chala jaega

    tu naya hai to dikha subh nai sham nai

    warna in aankhon ne dekhe hain nae sal kai

    be-sabab log kyon dete hain mubarak-baaden

    ghaaliban bhul gae waqt ki kaDwi yaaden

    teri aamad se ghaTi umr jahan se sab ki

    'faiz' ne likkhi hai ye nazm nirale Dhab ki

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now