nim tarik mohabbat
niim tārīk mohabbat kī dil-āvezī meñ
jagmagātī hai tirī yaad kī mauhūm kiran
chamak uThtā hai tire dard meñ Duubā huā chāñd
tujh ko chhūne kī tamannā meñ guzarte bādal
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ Thahar jaate haiñ
kisī pur-shor samundar kā talātum le kar
chāñdnī aa ke dil o jaañ pe bikhar jaatī hai
nahīñ ma.alūm ki vo phuul kahāñ khilte haiñ
jin kī ḳhushbū mirī āñkhoñ meñ utar jaatī hai
niim tārīk mohabbat kī dil-āvezī meñ
log kahte haiñ ki ik umr guzar jaatī hai
nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein
jagmagati hai teri yaad ki mauhum kiran
chamak uThta hai tere dard mein Duba hua chand
tujh ko chhune ki tamanna mein guzarte baadal
mere hathon ki lakiron mein Thahar jate hain
kisi pur-shor samundar ka talatum le kar
chandni aa ke dil o jaan pe bikhar jati hai
nahin malum ki wo phul kahan khilte hain
jin ki KHushbu meri aankhon mein utar jati hai
nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein
log kahte hain ki ek umr guzar jati hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 790)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.