be-mana nazm
girā paanī ke nal se ek anDā
to ḳharbūza uThā phir le ke DañDā
falak par rail tezī se chalī hai
havā dekho to paanī se jalī hai
nadī meñ tairtā ḳhargosh dekhā
to machhlī ne paroñ ko ḳhuub sīñkhā
milī chūhe ke bil se ek billī
shrī kaagā bane haiñ shaiḳh chillī
kabūtar se huī kachve kī shādī
to bhālū ne TamāTar ko duā dī
jalebī tairtī paanī pe aa.ī
maze le le ke bhinDī ḳhuub khaa.ī
machāyā shor kuchh sāñpoñ ne aisā
chalāyā bakriyoñ ne khoTā paisā
gad.he cycle chalā.e jā rahe the
maze se duudh mīThā khā rahe the
falak par uḌ rahā hai ek hāthī
miyāñ ghoḌe chale haiñ ban ke sāthī
sar-e-rāh piT ga.ī chyūñTī bichārī
gilahrī ban ga.ī ab to shikārī
thapak kar maiñ ne mīThe ko jagāyā
añdhere meñ namak tak gungunāyā
maze se ghaas bandar khā rahe the
chabā kar paan kavve gā rahe the
azaañ makḌī ne dī naddī pe jā kar
miyāñ machchhar nikal aa.e nahā kar
gira pani ke nal se ek anDa
to KHarbuza uTha phir le ke DanDa
falak par rail tezi se chali hai
hawa dekho to pani se jali hai
nadi mein tairta KHargosh dekha
to machhli ne paron ko KHub sinkha
mili chuhe ke bil se ek billi
shri kaga bane hain shaiKH chilli
kabutar se hui kachwe ki shadi
to bhaalu ne TamaTar ko dua di
jalebi tairti pani pe aai
maze le le ke bhinDi KHub khai
machaya shor kuchh sanpon ne aisa
chalaya bakriyon ne khoTa paisa
gadhe cycle chalae ja rahe the
maze se dudh miTha kha rahe the
falak par uD raha hai ek hathi
miyan ghoDe chale hain ban ke sathi
sar-e-rah piT gai chyunTi bichaari
gilahri ban gai ab to shikari
thapak kar main ne miThe ko jagaya
andhere mein namak tak gungunaya
maze se ghas bandar kha rahe the
chaba kar pan kawwe ga rahe the
azan makDi ne di naddi pe ja kar
miyan machchhar nikal aae naha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.