chalti phirti ek diwar
chaltī phirtī ik dīvār
dekhī ajā.ib ghar meñ 'nisār'
hiltī thī vo idhar udhar
chaltī thī vo khamboñ par
chaar juḌe the us meñ khambe
moTe moTe lambe se
dīvār se thā gumbad jo lagā
pipe thā us se juḌā huā
idhar udhar vo hiltā thā
moTā moTā bhaddā sā
bhālā le kar baiThe the
miyāñ mahāvat akḌe hue
gumbad meñ the darvāze
chhoTe chhoTe bhūre se
kahte haiñ ye ahl-e-zabāñ
hote haiñ dīvār ke kaan
kaan the us ke jaise suup
bhūrā bhūrā rang aur ruup
gaddā thā dīvār ke uupar
chamak rahī thī cham-cham chādar
nanhe munne baiThe the
phūloñ ke gul-daste the
gumbad meñ se do bhāle
idhar udhar the nikle hue
chamak rahe the aise sāthī
daañt dikhā.e jaise hāthī
ab ye batāo nanhe sāthī
dekhī thī dīvār ki hāthī
chalti phirti ek diwar
dekhi ajaib ghar mein 'nisar'
hilti thi wo idhar udhar
chalti thi wo khambon par
chaar juDe the us mein khambe
moTe moTe lambe se
diwar se tha gumbad jo laga
pipe tha us se juDa hua
idhar udhar wo hilta tha
moTa moTa bhadda sa
bhaala le kar baiThe the
miyan mahawat akDe hue
gumbad mein the darwaze
chhoTe chhoTe bhure se
kahte hain ye ahl-e-zaban
hote hain diwar ke kan
kan the us ke jaise sup
bhura bhura rang aur rup
gadda tha diwar ke upar
chamak rahi thi cham-cham chadar
nanhe munne baiThe the
phulon ke gul-daste the
gumbad mein se do bhaale
idhar udhar the nikle hue
chamak rahe the aise sathi
dant dikhae jaise hathi
ab ye batao nanhe sathi
dekhi thi diwar ki hathi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.