hai to hai
chappa-chappa ghuum kar aane kī hasrat hai to hai
dosto mirrīḳh pe jaane kī hasrat hai to hai
jo nahīñ paayā use paane kī hasrat hai to hai
dil hai dīvāna ye dīvāne kī hasrat hai to hai
baaġh se Taltā nahīñ kambaḳht maalī haa.e haa.e
toḌ kar ḳhūbāniyāñ khāne kī hasrat hai to hai
dhaul-dhappā mauj mastī shoḳhiyāñ aThkheliyāñ
apnā kārobār phailāne kī hasrat hai to hai
shaam ko milnā zarā fōtball ke maidān meñ
ma.arka phir koī garmāne kī hasrat hai to hai
daad apne fan kī 'tāriq' de paḌosī yā na de
chhat pe aadhī raat ko gaane kī hasrat hai to hai
chappa-chappa ghum kar aane ki hasrat hai to hai
dosto mirriKH pe jaane ki hasrat hai to hai
jo nahin paya use pane ki hasrat hai to hai
dil hai diwana ye diwane ki hasrat hai to hai
bagh se Talta nahin kambaKHt mali hae hae
toD kar KHubaniyan khane ki hasrat hai to hai
dhaul-dhappa mauj masti shoKHiyan aThkheliyan
apna karobar phailane ki hasrat hai to hai
sham ko milna zara football ke maidan mein
marka phir koi garmane ki hasrat hai to hai
dad apne fan ki 'tariq' de paDosi ya na de
chhat pe aadhi raat ko gane ki hasrat hai to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.