karte hain mazduri bachche jate nahin school
karte haiñ mazdūrī bachche jaate nahīñ schōl
is meñ un kī bhuul nahīñ hai ye hai baḌoñ kī bhuul
un kī hālat dekh ke dil se nikaltī hai ab haa.e
nanhe hāthoñ se gāhak ko jab vo pilā.eñ chaa.e
mazdūrī meñ un kā bachpan yūñhī biitā jaa.e
taaza havā kī jagah pe vo khāte haiñ gard aur dhuul
karte haiñ mazdūrī bachche jaate nahīñ schōl
workshop meñ jaate haiñ vo karne ke liye kaam
kaam meñ in kī sub.heñ guzreñ kaam meñ guzre shaam
zālim duniyā-dār haiñ in ko dete thoḌe daam
aaj kī is duniyā meñ kab hai koī ye ḳhuub usuul
karte haiñ mazdūrī bachche jaate nahīñ schōl
umr hai in kī khelne vaalī kheleñ kahāñ vo jā kar
paanī pī kar jī lete haiñ apnī bhuuk miTā kar
hafte baa'd bhī sau do-sau ko ḳhush hote haiñ pā kar
apnī ziist gañvā dete haiñ mazdūrī meñ fuzūl
karte haiñ mazdūrī bachche jaate nahīñ schōl
bachchoñ kī mazdūrī la.anat jurm ye ek baḌā hai
ik nāsūr hai jo apnī izzat kī rah meñ khaḌā hai
kaun hai jo is zulm ko roke jo har jā pe paḌā hai
bachchoñ ko madrase meñ bhejo mat do bahs ko tuul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
is mein un ki bhul nahin hai ye hai baDon ki bhul
un ki haalat dekh ke dil se nikalti hai ab hae
nanhe hathon se gahak ko jab wo pilaen chae
mazduri mein un ka bachpan yunhi bita jae
taza hawa ki jagah pe wo khate hain gard aur dhul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
workshop mein jate hain wo karne ke liye kaam
kaam mein in ki subhen guzren kaam mein guzre sham
zalim duniya-dar hain in ko dete thoDe dam
aaj ki is duniya mein kab hai koi ye KHub usul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
umr hai in ki khelne wali khelen kahan wo ja kar
pani pi kar ji lete hain apni bhuk miTa kar
hafte ba'd bhi sau do-sau ko KHush hote hain pa kar
apni zist ganwa dete hain mazduri mein fuzul
karte hain mazduri bachche jate nahin school
bachchon ki mazduri lanat jurm ye ek baDa hai
ek nasur hai jo apni izzat ki rah mein khaDa hai
kaun hai jo is zulm ko roke jo har ja pe paDa hai
bachchon ko madrase mein bhejo mat do bahs ko tul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.