makDi ki zehanat
sunā.ūñ tumheñ aaj ik mājrā
ki ik laḌkā makḌī ke pīchhe paḌā
phir us ne baḌā ek DañDā liyā
pakaḌ kar sire par use rakh diyā
vahāñ paas thā ek dariyā baḌā
vo DanDe pe makḌī ko le ke baḌhā
bahut duur paanī meñ gaaḌā use
ki us vaqt paanī thā biphrā huā
kināre vo chup-chāp baiThā rahā
ki dekheñ tamāsha ab hotā hai kyā
nikaltī hai dariyā se kis tarah ye
chalo aao dekheñ maza aa.egā
thī kuchh der makḌī vahāñ dam-ba-ḳhud
phir utrī to har samt paanī milā
ka.ī baar utrī chaḌhī phir na jab
rihā.ī kā koī bhī rasta milā
to kuchh der vo sochtī hī rahī
phir us ne vahāñ apnā jaalā bunā
yuuñ hī sat.h-e-dariyā pe pheñkā use
ki paanī se zyāda vo vaznī na thā
vo DanDe se jaale pe aa.ī to phir
Thahar ke vahāñ aur jaalā bunā
vahāñ se use pheñkā paanī pe yuuñ
ki kuchh duur aage vo jaalā baḌhā
vo jaale se jaale pe aatī rahī
yahāñ tak ki sāhil qarīb aa gayā
vo laḌkā use dekhtā rah gayā
zehānat pe makḌī ke hairān thā
vo makḌī kināre pe yuuñ aa ga.ī
ki jaise vahāñ kuchh huā hī na thā
musībat meñ sābit qadam jo rahe
vahī hai zamāne meñ sab se baḌā
sunaun tumhein aaj ek majra
ki ek laDka makDi ke pichhe paDa
phir us ne baDa ek DanDa liya
pakaD kar sire par use rakh diya
wahan pas tha ek dariya baDa
wo DanDe pe makDi ko le ke baDha
bahut dur pani mein gaDa use
ki us waqt pani tha biphra hua
kinare wo chup-chap baiTha raha
ki dekhen tamasha ab hota hai kya
nikalti hai dariya se kis tarah ye
chalo aao dekhen maza aaega
thi kuchh der makDi wahan dam-ba-KHud
phir utri to har samt pani mila
kai bar utri chaDhi phir na jab
rihai ka koi bhi rasta mila
to kuchh der wo sochti hi rahi
phir us ne wahan apna jala buna
yun hi sath-e-dariya pe phenka use
ki pani se zyaada wo wazni na tha
wo DanDe se jale pe aai to phir
Thahar ke wahan aur jala buna
wahan se use phenka pani pe yun
ki kuchh dur aage wo jala baDha
wo jale se jale pe aati rahi
yahan tak ki sahil qarib aa gaya
wo laDka use dekhta rah gaya
zehanat pe makDi ke hairan tha
wo makDi kinare pe yun aa gai
ki jaise wahan kuchh hua hi na tha
musibat mein sabit qadam jo rahe
wahi hai zamane mein sab se baDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.