mohammad muskuraate the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
vo itne ḳhūbsūrat
saaf suthre
nikhre nikhre
pyāre pyāre the
ki jab bhī muskurāte the
to un ke motiyoñ se daañt
jhilmil jhilmilāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
galī meñ khelte bachchoñ se
ḳhud jā kar milā karte
vo un se khelte the
god meñ lete
hañsāte the
vo un ko gudgudāte the
kamar par laad kar apnī
savārī bhī karāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
vo kahte the
ki bachche phuul haiñ
jugnū haiñ ḳhushbū haiñ
kabhī na mārte un ko
vo narmī aur mohabbat se
sikhāte the
duā dete the aur
jo kuchh sikhāte the
vo ḳhud kar ke dikhāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
vo jab bāhar se aate
uuñT par hote yā ghoḌe par
to apne rāste meñ
khelte bachchoñ ke
ḳhud hī paas jaate the
vo sab ko baarī baarī
apne ghoḌe par biThāte the
unheñ jhūlā dilāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
vo jab bhī dekhte
bachchoñ ke
muñh aur haath maile haiñ
to un ko god maiñ le kar
vo un kā muñh dhulāte the
vo un ko chūmte the
aur paas apne biThāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
vo masjid ho yā un kā ghar
koī khāne kī chiiz aatī
to bachchoñ se shurūa karte
unheñ vo sab se pahle de ke
auroñ ko khilāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
mohammad kī tarah maiñ bhī
hamesha muskurā.ūñgā
maiñ jab jannat meñ un se
ḳhud milūñgā ye batā.ūñgā
mujhe un se mohabbat hai
maiñ un se pyaar kartā huuñ
ki jab maiñ chhoTā bachcha thā
to un ko sochtā thā
yaad kartā muskurātā thā
ki tab har raat ko
sone se kuchh pahle
mujhe abbū batāte the
mohammad muskurāte the
hamesha muskurāte the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
wo itne KHubsurat
saf suthre
nikhre nikhre
pyare pyare the
ki jab bhi muskuraate the
to un ke motiyon se dant
jhilmil jhilmilate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
gali mein khelte bachchon se
KHud ja kar mila karte
wo un se khelte the
god mein lete
hansate the
wo un ko gudgudate the
kamar par lad kar apni
sawari bhi karaate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
wo kahte the
ki bachche phul hain
jugnu hain KHushbu hain
kabhi na marte un ko
wo narmi aur mohabbat se
sikhate the
dua dete the aur
jo kuchh sikhate the
wo KHud kar ke dikhate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
wo jab bahar se aate
unT par hote ya ghoDe par
to apne raste mein
khelte bachchon ke
KHud hi pas jate the
wo sab ko bari bari
apne ghoDe par biThate the
unhen jhula dilate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
wo jab bhi dekhte
bachchon ke
munh aur hath maile hain
to un ko god main le kar
wo un ka munh dhulate the
wo un ko chumte the
aur pas apne biThate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
wo masjid ho ya un ka ghar
koi khane ki chiz aati
to bachchon se shurua karte
unhen wo sab se pahle de ke
auron ko khilate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
mohammad ki tarah main bhi
hamesha muskuraunga
main jab jannat mein un se
KHud milunga ye bataunga
mujhe un se mohabbat hai
main un se pyar karta hun
ki jab main chhoTa bachcha tha
to un ko sochta tha
yaad karta muskuraata tha
ki tab har raat ko
sone se kuchh pahle
mujhe abbu batate the
mohammad muskuraate the
hamesha muskuraate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.