titliyan
jab āñkheñ band kartā huuñ
to aa jaatī haiñ
rañgīn titliyāñ in band āñkhoñ meñ
hazāroñ rañg apne aap bhar jaate haiñ
nazroñ meñ
ye uḌtī titliyāñ haiñ
hasīn kaliyoñ sī phūloñ sī
lachaktī Doltī lahrātī balkhātī havāoñ meñ
mahakte rañg gul buuTe sajātī haiñ fazāoñ meñ
magar jab aañkh khultī hai
to ye ehsās hotā hai
yahāñ bārūd bam rocket dhamākoñ kī sadā.eñ haiñ
bahut bojhal fazā.eñ haiñ
jo un ke par jalā deñge
vahī dahkī havā.eñ haiñ
yahī sab dekh kar maiñ apnī āñkheñ band kartā huuñ
ki in meñ rañg bharne titliyāñ phir lauT ā.eñgī
jab aankhen band karta hun
to aa jati hain
rangin titliyan in band aankhon mein
hazaron rang apne aap bhar jate hain
nazron mein
ye uDti titliyan hain
hasin kaliyon si phulon si
lachakti Dolti lahraati balkhati hawaon mein
mahakte rang gul buTe sajati hain fazaon mein
magar jab aankh khulti hai
to ye ehsas hota hai
yahan barud bam rocket dhamakon ki sadaen hain
bahut bojhal fazaen hain
jo un ke par jala denge
wahi dahki hawaen hain
yahi sab dekh kar main apni aankhen band karta hun
ki in mein rang bharne titliyan phir lauT aaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.