umang
sab ko hai chain sā
sab ko hai aasrā
maiñ huuñ chhoTā to kyā
aatī hai jab kalī
bantī hai phuul bhī
maiñ chhoTā to kyā
nannhī sī buuñd se
kitne dariyā bahe
maiñ huuñ chhoTā to kyā
halkī halkī phuvār
laatī hai kyā bahār
maiñ huuñ chhoTā to kyā
ek chyūñTī are
aur hāthī mare
maiñ huuñ chhoTā to kyā
ik gilahrī uThe
TukḌe patthar kare
maiñ huuñ chhoTā to kyā
sab ko hai chain sa
sab ko hai aasra
main hun chhoTa to kya
aati hai jab kali
banti hai phul bhi
main chhoTa to kya
nannhi si bund se
kitne dariya bahe
main hun chhoTa to kya
halki halki phuwar
lati hai kya bahaar
main hun chhoTa to kya
ek chyunTi are
aur hathi mare
main hun chhoTa to kya
ek gilahri uThe
TukDe patthar kare
main hun chhoTa to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.