qaum se KHitab
sun mirī bāteñ zarā sun ai zalīl-o-ḳhvār qaum
ai vatan-dushman sitam-āzār ai ġhaddār qaum
be-navā be-rahm apnī jaan se bezār qaum
be-hamiyyat bad-nasīb ai muflis-o-nādār qaum
apnī hālat par tujhe ab sharm kyoñ aatī nahīñ
kyā ġharīb-āzāriyāñ bhī tujh ko taḌpātī nahīñ
jab nahīñ paatī hai khāne ko to piitī hai lahū
mardum-āzārī kī kartī hai talāsh-o-justujū
bhā.iyoñ se apne hī laḌtī hai tū ai tund-ḳhū
tujh meñ ab insāniyat kī bhī nahīñ baaqī hai bū
tū bahādur hai magar apne hī ghar ke vāste
tujh meñ himmat hai magar dīvār-o-dar ke vāste
be-hisī iflās aur buġhz-o-adāvat tujh meñ hai
ranjish-e-bejā-o-kīna aur nafrat tujh meñ hai
ġhair kī hamdard apnoñ se kudūrat tujh meñ hai
kyā batā.eñ tujh ko jo ai be-muravvat tujh meñ hai
tere jo ā'māl haiñ vo haiñ riyā ke vāste
bā-ḳhudā tujh meñ nahīñ koī ḳhudā ke vāste
dair-o-masjid chhoḌ shaiḳh-o-barhaman ke vāste
ġhuncha-o-gul vaqf kar ahl-e-chaman ke vāste
sham'-e-mahfil kar farozāñ anjuman ke vāste
tujh ko jo karnā hai kar apne vatan ke vāste
is se kuchh hāsil nahīñ vo sulh ho yā jang ho
tujh ko apne rang se matlab hai koī rang ho
bas yahī hai kufr terā aur yahī islām hai
bas yahī āġhāz terā aur yahī anjām hai
bas yahī tohfa hai terā aur yahī in'ām hai
bas yahī ik mudda'ā hai aur yahī paiġhām hai
gir rahā hai terā ghar hāthoñ pe is ko thaam le
vaqt 'ujlat kā hai jaldī uTh ḳhudā kā naam le
sun meri baaten zara sun ai zalil-o-KHwar qaum
ai watan-dushman sitam-azar ai ghaddar qaum
be-nawa be-rahm apni jaan se bezar qaum
be-hamiyyat bad-nasib ai muflis-o-nadar qaum
apni haalat par tujhe ab sharm kyon aati nahin
kya gharib-azariyan bhi tujh ko taDpati nahin
jab nahin pati hai khane ko to piti hai lahu
mardum-azari ki karti hai talash-o-justuju
bhaiyon se apne hi laDti hai tu ai tund-KHu
tujh mein ab insaniyat ki bhi nahin baqi hai bu
tu bahadur hai magar apne hi ghar ke waste
tujh mein himmat hai magar diwar-o-dar ke waste
be-hisi iflas aur bughz-o-adawat tujh mein hai
ranjish-e-beja-o-kina aur nafrat tujh mein hai
ghair ki hamdard apnon se kudurat tujh mein hai
kya bataen tujh ko jo ai be-murawwat tujh mein hai
tere jo aa'mal hain wo hain riya ke waste
ba-KHuda tujh mein nahin koi KHuda ke waste
dair-o-masjid chhoD shaiKH-o-barhaman ke waste
ghuncha-o-gul waqf kar ahl-e-chaman ke waste
sham'-e-mahfil kar farozan anjuman ke waste
tujh ko jo karna hai kar apne watan ke waste
is se kuchh hasil nahin wo sulh ho ya jang ho
tujh ko apne rang se matlab hai koi rang ho
bas yahi hai kufr tera aur yahi islam hai
bas yahi aaghaz tera aur yahi anjam hai
bas yahi tohfa hai tera aur yahi in'am hai
bas yahi ek mudda'a hai aur yahi paigham hai
gir raha hai tera ghar hathon pe is ko tham le
waqt 'ujlat ka hai jaldi uTh KHuda ka nam le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.