rishwat-KHor dahai
paiñsaTh ne rokā aur pūchhā:
''kaun ho kaise aa.e ho
achchhā aage jaanā hai
Thiik hai lekin ye to kaho
mere liye kyā laa.e ho''
maiñ ne kahā kyā chāhte ho
daañt iksaTh ne maar liye
bāsaTh tīsaTh aur chausaTh ne
sar ke baal utaar liye
ab do āñhkeñ baaqī haiñ
aage rasta Thiik nahīñ
tum chāho to bhaa.ī mire
aadhī bīnā.ī le lo
chāsaTh kā viizā de do
painsaTh ne roka aur puchha:
kaun ho kaise aae ho
achchha aage jaana hai
Thik hai lekin ye to kaho
mere liye kya lae ho
main ne kaha kya chahte ho
dant iksaTh ne mar liye
basaTh tisaTh aur chausaTh ne
sar ke baal utar liye
ab do aanhken baqi hain
aage rasta Thik nahin
tum chaho to bhai mere
aadhi binai le lo
chasaTh ka wiza de do
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 455)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.