tamashai na mil pae
tavajjoh
vo yahāñ kis ko milī hai
ḳhudā ne kyā kasar chhoḌī thī koī
tavajjoh khīñchne kī
magar kyā haath aayā
tamāshā-gāh tak laa.e ga.e the muft meñ ham
ticket bhī vāpsī kā jeb meñ us ne hamārī rakh diyā thā
ki ham be-fikr ho kar khel kā us ke maza leñ
faqat tā'rīf karne ke 'evaz
taalī bajāne ke 'evaz jannat
baḌā in'ām thā
tamāshe raushnīyoñ ke bhī sab dilchasp the
magar phir bhī hameñ aisā nahīñ lagtā
tamāsha dhyān se dekhā kisī ne
vo jis ik vaah kī ḳhātir
ye saarā intizām us ne kiyā thā
diloñ se vo kabhī niklī kisī ke
agar ye sab ḳhudā ke saath ho saktā hai
to ham kyā
hamāre chhoTe moTe khel kyā
bāzīgarī kyā
sabab bantā nahīñ shikve kā koī
bilā matlab tamāsha dekhne vāloñ se apne ham ḳhafā haiñ
ḳhudā ko jab yahāñ achchhe tamāshā.ī na mil paa.e
to ham kyā haiñ
tawajjoh
wo yahan kis ko mili hai
KHuda ne kya kasar chhoDi thi koi
tawajjoh khinchne ki
magar kya hath aaya
tamasha-gah tak lae gae the muft mein hum
ticket bhi wapsi ka jeb mein us ne hamari rakh diya tha
ki hum be-fikr ho kar khel ka us ke maza len
faqat ta'rif karne ke 'ewaz
tali bajaane ke 'ewaz jannat
baDa in'am tha
tamashe raushniyon ke bhi sab dilchasp the
magar phir bhi hamein aisa nahin lagta
tamasha dhyan se dekha kisi ne
wo jis ek wah ki KHatir
ye sara intizam us ne kiya tha
dilon se wo kabhi nikli kisi ke
agar ye sab KHuda ke sath ho sakta hai
to hum kya
hamare chhoTe moTe khel kya
bazigari kya
sabab banta nahin shikwe ka koi
bila matlab tamasha dekhne walon se apne hum KHafa hain
KHuda ko jab yahan achchhe tamashai na mil pae
to hum kya hain
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 114)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.